KHud apne aapko zanjir karta rahta hai
ḳhud apne aap ko zanjīr kartā rahtā hai
vo mere ḳhvāb kī ta.abīr kartā rahtā hai
ajab nahīñ ki use merī aarzū hī na ho
ki ab vo aane meñ tāḳhīr kartā rahtā hai
na.e makān kī vus.at na us ko raas i
vo ab bhī zehn meñ tasvīr kartā rahtā hai
qalam uThāne kī tahrīk bhī usī ne dī
aur ab vahī hai ki ta.azīr kartā rahtā hai
uyuub apne chhupāoge kis tarah 'bismil'
vo roz nāmcha tahrīr kartā rahtā hai
KHud apne aap ko zanjir karta rahta hai
wo mere KHwab ki tabir karta rahta hai
ajab nahin ki use meri aarzu hi na ho
ki ab wo aane mein taKHir karta rahta hai
nae makan ki wusat na us ko ras i
wo ab bhi zehn mein taswir karta rahta hai
qalam uThane ki tahrik bhi usi ne di
aur ab wahi hai ki tazir karta rahta hai
uyub apne chhupaoge kis tarah 'bismil'
wo roz namcha tahrir karta rahta hai
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 74)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.