KHud ko dekhun ki main jahan dekhun
ḳhud ko dekhūñ ki maiñ jahāñ dekhūñ
ik nazar se kahāñ kahāñ dekhūñ
sar ko rakh kar zamīñ ke qadmoñ par
kab talak sū-e-asmāñ dekhūñ
ho ke bhī tū vahāñ nahīñ miltā
tujh ko jā kar jahāñ jahāñ dekhūñ
maiñ isī kashmakash meñ Duub gayā
paar utrūñ ki darmiyāñ dekhūñ
sang bhī haiñ shikasta shīshe bhī
jism dekhūñ ki apnī jaañ dekhūñ
e.atibār aur bhī ḳhudā pe baḌhe
jab bhī maiñ sūrat-e-butāñ dekhūñ
be-niyāz-e-bahār phir huuñ 'nihāl'
aarzū hai ki phir ḳhizāñ dekhūñ
KHud ko dekhun ki main jahan dekhun
ek nazar se kahan kahan dekhun
sar ko rakh kar zamin ke qadmon par
kab talak su-e-asman dekhun
ho ke bhi tu wahan nahin milta
tujh ko ja kar jahan jahan dekhun
main isi kashmakash mein Dub gaya
par utrun ki darmiyan dekhun
sang bhi hain shikasta shishe bhi
jism dekhun ki apni jaan dekhun
eatibar aur bhi KHuda pe baDhe
jab bhi main surat-e-butan dekhun
be-niyaz-e-bahaar phir hun 'nihaal'
aarzu hai ki phir KHizan dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.