KHudi gum kar chuka hun ab KHushi-o-gham se kya matlab
KHudi gum kar chuka hun ab KHushi-o-gham se kya matlab
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
ḳhudī gum kar chukā huuñ ab ḳhushī-o-ġham se kyā matlab
ta'alluq hosh se chhoḌā to ab 'ālam se kyā matlab
qanā’at jis ko hai vo rizq-e-mā-yahtāj par ḳhush hai
samajh jis ko hai us ko bahs-e-besh-o-kam se kyā matlab
jise marnā na ho vo hashr tak kī fikr meñ uljhe
badaltī hai agar duniyā to badle ham se kyā matlab
mirī fitrat meñ mastī hai haqīqat-bīñ hai dil merā
mujhe saaqī kī kyā hājat hai jām-o-jam se kyā matlab
ḳhud apnī riish meñ uljhe hue haiñ hazrat-e-vā'iz
bhalā un ko butoñ ke gesu-e-pur-ḳham se kyā matlab
na.ī tā’līm ko kyā vāsta hai ādamiyyat se
janāb-e-Dārvin ko hazrat-e-ādam se kyā matlab
sadā-e-sarmadī se mast rahtā huuñ sadā 'akbar'
mujhe naġhmoñ kī kyā parvā mujhe sargam se kyā matlab
KHudi gum kar chuka hun ab KHushi-o-gham se kya matlab
ta'alluq hosh se chhoDa to ab 'alam se kya matlab
qana’at jis ko hai wo rizq-e-ma-yahtaj par KHush hai
samajh jis ko hai us ko bahs-e-besh-o-kam se kya matlab
jise marna na ho wo hashr tak ki fikr mein uljhe
badalti hai agar duniya to badle hum se kya matlab
meri fitrat mein masti hai haqiqat-bin hai dil mera
mujhe saqi ki kya hajat hai jam-o-jam se kya matlab
KHud apni rish mein uljhe hue hain hazrat-e-wa'iz
bhala un ko buton ke gesu-e-pur-KHam se kya matlab
nai ta’lim ko kya wasta hai aadamiyyat se
janab-e-Darwin ko hazrat-e-adam se kya matlab
sada-e-sarmadi se mast rahta hun sada 'akbar'
mujhe naghmon ki kya parwa mujhe sargam se kya matlab
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 48)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.