KHulus-o-mehr se labrez hamdam apna tha
ḳhulūs-o-mehr se labrez hamdam apnā thā
ki beshtar vo hamārā thā kam-kam apnā thā
kiyā jo tajziya niklā na jaane kis kis kā
hamesha jis ko ye samjhā kiye ġham apnā thā
na thā tumhārī mohabbat meñ qā.eda koī
na kārobār-e-vafā hī munazzam apnā thā
rasā.ī kyoñ na huī tā-ba-kū-e-yār agar
niyat ba-ḳhair irāda musammam apnā thā
kisī kī zaat na gumrāh kar sakī ham ko
ki apnī zaat pe īmān mohkam apnā thā
ḳhudā ko jaanā hai insān ko na pahchānā
agarche farz yahī ik muqaddam apnā thā
hamārī saltanat-e-ishq kī hudūd na pūchh
jo raast qad thā ki gesu-e-pur-ḳham apnā thā
kuchh is tarah huī taqsīm bāġh-e-hastī kī
tumhārā ḳhanda-e-gul ashk-e-shabnam apnā thā
vo shaḳhs hī mirī pahchān ban gayā 'shaukat'
kabhī jo dost thā apnā na mahram apnā thā
KHulus-o-mehr se labrez hamdam apna tha
ki beshtar wo hamara tha kam-kam apna tha
kiya jo tajziya nikla na jaane kis kis ka
hamesha jis ko ye samjha kiye gham apna tha
na tha tumhaari mohabbat mein qaeda koi
na karobar-e-wafa hi munazzam apna tha
rasai kyon na hui ta-ba-ku-e-yar agar
niyat ba-KHair irada musammam apna tha
kisi ki zat na gumrah kar saki hum ko
ki apni zat pe iman mohkam apna tha
KHuda ko jaana hai insan ko na pahchana
agarche farz yahi ek muqaddam apna tha
hamari saltanat-e-ishq ki hudud na puchh
jo rast qad tha ki gesu-e-pur-KHam apna tha
kuchh is tarah hui taqsim bagh-e-hasti ki
tumhaara KHanda-e-gul ashk-e-shabnam apna tha
wo shaKHs hi meri pahchan ban gaya 'shaukat'
kabhi jo dost tha apna na mahram apna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.