KHwab-e-KHush kahne hi ko apna tha apna kuchh na tha
ḳhvāb-e-ḳhush kahne hī ko apnā thā apnā kuchh na thā
harf-e-āzādī sunā thā ham ne samjhā kuchh na thā
kaun kahtā hai ki duniyā meñ hamārā kuchh na thā
jab tak apne farz kā ehsās thā kyā kuchh na thā
haath ḳhālī apnī manzil se chalā sū-e-adam
ai musāfir kuchh tire qabze meñ thā yā kuchh na thā
baat kahne kī nahīñ lekin haqīqat hai yahī
merī hastī se jo sab kuchh hai vo tanhā kuchh na thā
un kī ik karvaT pe ho jaatī hai duniyā muztarib
maiñ taḌaptā thā magar merā taḌapnā kuchh na thā
pur-sukūñ thī mere dil kī tarah masjid kī fazā
kitne fitne aaj uThe haiñ kal ye jhagḌā kuchh na thā
dāman-e-daulat thā jab tak dāman-e-aġhyār meñ
aap bhī the ham bhī the ye merā terā kuchh na thā
rahm ke qābil hai us kā ālam-e-bechārgī
kah diyā jis ne bahut kuchh aur sochā kuchh na thā
ham ko kis kis ne na sikhlā.e tarīqe sabr ke
apne uupar vaqt jab aaya tarīqa kuchh na thā
e'tirāf-e-ma.asiyat thī mai-kashī ke saath saath
mai-kade meñ nāz-e-tasbīh-o-musalllā kuchh na thā
sau irāde the amal ke hausle ko kyā kareñ
ab to kahne ke liye un kā irāda kuchh na thā
fitrat-e-insāñ pe jab tak ishq thā partav-fagan
jauhar-e-insāniyat ko 'najm' ḳhatra kuchh na thā
KHwab-e-KHush kahne hi ko apna tha apna kuchh na tha
harf-e-azadi suna tha hum ne samjha kuchh na tha
kaun kahta hai ki duniya mein hamara kuchh na tha
jab tak apne farz ka ehsas tha kya kuchh na tha
hath KHali apni manzil se chala su-e-adam
ai musafir kuchh tere qabze mein tha ya kuchh na tha
baat kahne ki nahin lekin haqiqat hai yahi
meri hasti se jo sab kuchh hai wo tanha kuchh na tha
un ki ek karwaT pe ho jati hai duniya muztarib
main taDapta tha magar mera taDapna kuchh na tha
pur-sukun thi mere dil ki tarah masjid ki faza
kitne fitne aaj uThe hain kal ye jhagDa kuchh na tha
daman-e-daulat tha jab tak daman-e-aghyar mein
aap bhi the hum bhi the ye mera tera kuchh na tha
rahm ke qabil hai us ka aalam-e-bechaargi
kah diya jis ne bahut kuchh aur socha kuchh na tha
hum ko kis kis ne na sikhlae tariqe sabr ke
apne upar waqt jab aaya tariqa kuchh na tha
e'tiraf-e-masiyat thi mai-kashi ke sath sath
mai-kade mein naz-e-tasbih-o-musallla kuchh na tha
sau irade the amal ke hausle ko kya karen
ab to kahne ke liye un ka irada kuchh na tha
fitrat-e-insan pe jab tak ishq tha partaw-fagan
jauhar-e-insaniyat ko 'najm' KHatra kuchh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.