kin balaon ka asar ghumta hai
kin balāoñ kā asar ghūmtā hai
be-sabab hī mirā sar ghūmtā hai
ab Thahar bhī jā mire ghar meñ tū
dekh kab se mirā ghar ghūmtā hai
ik na ik din to nazar aa.egā
tū sar-e-bām agar ghūmtā hai
merā sayyāra-e-raushan ab tak
duur ufuq-pār udhar ghūmtā hai
jab se Thahrā huuñ maiñ apne atrāf
ye kurah shām-o-sahar ghūmtā hai
kin balaon ka asar ghumta hai
be-sabab hi mera sar ghumta hai
ab Thahar bhi ja mere ghar mein tu
dekh kab se mera ghar ghumta hai
ek na ek din to nazar aaega
tu sar-e-baam agar ghumta hai
mera sayyara-e-raushan ab tak
dur ufuq-par udhar ghumta hai
jab se Thahra hun main apne atraf
ye kurah sham-o-sahar ghumta hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 34)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.