kisi badan ki tamanna mein gham nikal aae
kisī badan kī tamanna meñ ġham nikal aa.e
ġhamoñ ko bhuuk lagī thī so ham nikal aa.e
ajab saḳhī hai zamāne meñ baañT detā hai
maiñ jitnā ishq use de duuñ kam nikal aa.e
vo muflisī thī ki maiñ hijr khā ke zinda rahā
visāl-ḳhor jo sun leñ to dam nikal aa.e
mujhe vo ishq huā hai ki maiñ agar chāhūñ
sanam-kade meñ bhī hadd-e-haram nikal aa.e
maiñ sīdhī sīdhī laToñ par kathā.eñ likhtā thā
pa terī zulf-e-kahānī meñ ḳham nikal aa.e
ye tishna-lab jinheñ maarā gayā hai dariyā par
ye log chāheñ to sūraj bhī nam nikal aa.e
kisi badan ki tamanna mein gham nikal aae
ghamon ko bhuk lagi thi so hum nikal aae
ajab saKHi hai zamane mein banT deta hai
main jitna ishq use de dun kam nikal aae
wo muflisi thi ki main hijr kha ke zinda raha
visal-KHor jo sun len to dam nikal aae
mujhe wo ishq hua hai ki main agar chahun
sanam-kade mein bhi hadd-e-haram nikal aae
main sidhi sidhi laTon par kathaen likhta tha
pa teri zulf-e-kahani mein KHam nikal aae
ye tishna-lab jinhen mara gaya hai dariya par
ye log chahen to suraj bhi nam nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.