kisi ko paikar-e-mahtab mein jo Dhaala tha
kisī ko paikar-e-mahtāb meñ jo Dhālā thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā vo āḳhirī sañbhālā thā
har ek shaḳhs pe parchhā.īñ kā ḳhayāl huā
tirī galī meñ ajab tarah kā ujālā thā
na jaane kis liye zulmat ne us pe yūrish kī
vo āftāb ki jo ḳhud hī Dhalne vaalā thā
isī ḳhatā pe har ik ḳhaar ne qadam chūme
vo ek kāñTā hī kyoñ paañv se nikālā thā
koī batāo ki sūraj ko ye jhijhak kyoñ hai
abhī kiran ne to kohre se sar nikālā thā
bilā-sabab mujhe yādoñ ne sangsār kiyā
sarāb-e-zīst se maiñ kab nikalne vaalā thā
kabhī to ham ne bhī ḳhvāboñ ke but tarāshe the
hamāre dil meñ bhī ulfat kā ik shivāla thā
kisi ko paikar-e-mahtab mein jo Dhaala tha
KHayal-o-KHwab ka wo aaKHiri sanbhaala tha
har ek shaKHs pe parchhain ka KHayal hua
teri gali mein ajab tarah ka ujala tha
na jaane kis liye zulmat ne us pe yurish ki
wo aaftab ki jo KHud hi Dhalne wala tha
isi KHata pe har ek KHar ne qadam chume
wo ek kanTa hi kyon panw se nikala tha
koi batao ki suraj ko ye jhijhak kyon hai
abhi kiran ne to kohre se sar nikala tha
bila-sabab mujhe yaadon ne sangsar kiya
sarab-e-zist se main kab nikalne wala tha
kabhi to hum ne bhi KHwabon ke but tarashe the
hamare dil mein bhi ulfat ka ek shiwala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.