kisi se koi shikwa hai na dil mein koi nafrat hai
kisi se koi shikwa hai na dil mein koi nafrat hai
Professor Mahmood Alam
MORE BYProfessor Mahmood Alam
kisī se koī shikva hai na dil meñ koī nafrat hai
mile ho tum mujhe jab se ye duniyā ḳhūbsūrat hai
hamārī ban nahīñ saktī kabhī shaiḳh-o-barahman se
gunāh vo jis ko kahte haiñ vahī apnī ibādat hai
kahāñ mauqa milā mujh ko tumhāre saath rahne kā
safar meñ mil ga.e tarzī to ye samjhā sa.ādat hai
guloñ ko ḳhaar kahte haiñ ḳhalish ko shabnamī ThanDak
ishāra aur hī kuchh hai ġhazal kī ye nazākat hai
tumhārī har adā ko jāntā pahchāntā huuñ maiñ
ḳhamoshī hai agar lab par to ye merī sharāfat hai
tumhāre husn-e-roz-afzūñ meñ merā bhī to hissa hai
mirā hissa mujhe de do na doge to ḳhayānat hai
ye kaisī dostī hai dostoñ ko tishna rakhte ho
baḌhī jo tishnagī had se to elān-e-baġhāvat hai
jigar kā ḳhuun hotā hai to phir ash.ār bante haiñ
jigar-sozī-o-ḳhūñ-rezī meñ hī sachchī halāvat hai
tumhāre makr-o-sāzish ne dikhāyā hai mujhe rasta
tire jaur-o-sitam se hī mirī duniyā salāmat hai
jo nikle ḳhuun ke qatre chhalak kar merī āñkhoñ se
ye ḳhud-karda gunāhoñ par bahe ashk-e-nadāmat hai
tū apnī qadr kar nādāñ tujhe naa.eb banāyā hai
tirī qismat meñ duniyā kī qayādat aur imāmat hai
sunāte haiñ miyāñ 'mahmūd' ab to āp-bītī hī
ba-zāhir dāstān-e-ġham ba-bātin ik hikāyat hai
kisi se koi shikwa hai na dil mein koi nafrat hai
mile ho tum mujhe jab se ye duniya KHubsurat hai
hamari ban nahin sakti kabhi shaiKH-o-barahman se
gunah wo jis ko kahte hain wahi apni ibaadat hai
kahan mauqa mila mujh ko tumhaare sath rahne ka
safar mein mil gae tarzi to ye samjha saadat hai
gulon ko KHar kahte hain KHalish ko shabnami ThanDak
ishaara aur hi kuchh hai ghazal ki ye nazakat hai
tumhaari har ada ko jaanta pahchanta hun main
KHamoshi hai agar lab par to ye meri sharafat hai
tumhaare husn-e-roz-afzun mein mera bhi to hissa hai
mera hissa mujhe de do na doge to KHayanat hai
ye kaisi dosti hai doston ko tishna rakhte ho
baDhi jo tishnagi had se to elan-e-baghawat hai
jigar ka KHun hota hai to phir ashaar bante hain
jigar-sozi-o-KHun-rezi mein hi sachchi halawat hai
tumhaare makr-o-sazish ne dikhaya hai mujhe rasta
tere jaur-o-sitam se hi meri duniya salamat hai
jo nikle KHun ke qatre chhalak kar meri aankhon se
ye KHud-karda gunahon par bahe ashk-e-nadamat hai
tu apni qadr kar nadan tujhe naeb banaya hai
teri qismat mein duniya ki qayaadat aur imamat hai
sunate hain miyan 'mahmud' ab to aap-biti hi
ba-zahir dastan-e-gham ba-baatin ek hikayat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.