kisi surat junun ki fitna-samani nahin jati
kisī sūrat junūñ kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
bahār aatī hai lekin ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
vo yuuñ altāf karte haiñ ki jaise baaġh se aksar
ḳhizāñ mādūm ho jaatī hai vīrānī nahīñ jaatī
vo aate haiñ magar merā taḌapnā kam nahīñ hotā
vo milte haiñ magar merī pareshānī nahīñ jaatī
vo yuuñ aate haiñ jaise ghar kī sūrat tak nahīñ būjhī
vo yuuñ milte haiñ goyā shakl pahchānī nahīñ jaatī
shabāb aayā to aa.ī ġhairiyat bhī un ke hisse meñ
ki pahchānī huī sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
vahī isrār-e-tiflāna ki dekheñ dard-e-dil ham bhī
javāñ hone ko aa.e aur nādānī nahīñ jaatī
hayāt-e-jadval-e-bar-āb meñ kyā rañj kyā rāhat
magar is āgahī par bhī pareshānī nahīñ jaatī
yaqīnan aap aa.e haiñ yaqīnan aap hī vo haiñ
magar māyūsī-e-paiham ko hairānī nahīñ jaatī
bhalā ab kaun hai pursān-e-arbāb-e-suḳhan 'bismil'
magar phir aap kī ḳhū-e-ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
mohabbat kā karishma yuuñ bhī dekhā hai kabhī 'bismil'
ki dariyā ḳhushk ho jaatā hai tuġhyānī nahīñ jaatī
kisi surat junun ki fitna-samani nahin jati
bahaar aati hai lekin KHana-virani nahin jati
wo yun altaf karte hain ki jaise bagh se aksar
KHizan madum ho jati hai virani nahin jati
wo aate hain magar mera taDapna kam nahin hota
wo milte hain magar meri pareshani nahin jati
wo yun aate hain jaise ghar ki surat tak nahin bujhi
wo yun milte hain goya shakl pahchani nahin jati
shabab aaya to aai ghairiyat bhi un ke hisse mein
ki pahchani hui surat bhi pahchani nahin jati
wahi israr-e-tiflana ki dekhen dard-e-dil hum bhi
jawan hone ko aae aur nadani nahin jati
hayat-e-jadwal-e-bar-ab mein kya ranj kya rahat
magar is aagahi par bhi pareshani nahin jati
yaqinan aap aae hain yaqinan aap hi wo hain
magar mayusi-e-paiham ko hairani nahin jati
bhala ab kaun hai pursan-e-arbab-e-suKHan 'bismil'
magar phir aap ki KHu-e-ghazal-KHwani nahin jati
mohabbat ka karishma yun bhi dekha hai kabhi 'bismil'
ki dariya KHushk ho jata hai tughyani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.