Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitab-e-zindagi ka har warq kahne ko sada hai

Hairat Allahabadi

kitab-e-zindagi ka har warq kahne ko sada hai

Hairat Allahabadi

MORE BYHairat Allahabadi

    kitāb-e-zindagī har varq kahne ko saada hai

    magar jo kuchh bhī likkhā hai hurūf-e-ḳhūñ meñ likkhā hai

    ye saarī shān-o-shaukat kuchh nahīñ nazroñ dhokā hai

    asāsa āshiyāne jise kahte ho tinkā hai

    lahū de kar jo sīñchā thā gulistān-e-vafā ham ne

    guloñ ke jism se vo rang ban kar phuuT niklā hai

    ye merī ḳhush-nasībī hai ki us but ne ba-dast-e-ḳhud

    sar-e-fihrist dīvānoñ meñ merā naam likkhā hai

    havā.eñ DhūñDhtī phirtī haiñ us mard-e-mujāhid ko

    farāz-e-dār par jis ne charāġh-e-zīst rakkhā hai

    yaqīnan zaḳhm-e-dil ke saare Tāñke TuuT jā.eñge

    tirī nazroñ jaadū dil pe sho.ala ban ke lapkā hai

    kabhī shahr-e-tamannā meñ to aa kar dekh jaate vo

    dar-o-dīvār par har samt kis naam likkhā hai

    sitam aur mauqa' us ko mil jā.egā ai 'hairat'

    isī bā'is vo jiine du'ā.eñ mujh ko detā hai

    kitab-e-zindagi ka har warq kahne ko sada hai

    magar jo kuchh bhi likkha hai huruf-e-KHun mein likkha hai

    ye sari shan-o-shaukat kuchh nahin nazron ka dhoka hai

    asasa aashiyane ka jise kahte ho tinka hai

    lahu de kar jo sincha tha gulistan-e-wafa hum ne

    gulon ke jism se wo rang ban kar phuT nikla hai

    ye meri KHush-nasibi hai ki us but ne ba-dast-e-KHud

    sar-e-fihrist diwanon mein mera nam likkha hai

    hawaen DhunDhti phirti hain us mard-e-mujahid ko

    faraaz-e-dar par jis ne charagh-e-zist rakkha hai

    yaqinan zaKHm-e-dil ke sare Tanke TuT jaenge

    teri nazron ka jadu dil pe shoala ban ke lapka hai

    kabhi shahr-e-tamanna mein to aa kar dekh jate wo

    dar-o-diwar par har samt kis ka nam likkha hai

    sitam ka aur mauqa' us ko mil jaega ai 'hairat'

    isi ba'is wo jine ki du'aen mujh ko deta hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now