koi bhi lamha ho ek aag laga jati hai
koī bhī lamha ho ik aag lagā jaatī hai
yād-e-māzī hai ki rang apnā dikhā jaatī hai
dil meñ ummīd kī dīvār uThe yā na uThe
āgahī dard kī dahlīz banā jaatī hai
jaane vo kaun sī ik lahr chhupī hai dil meñ
sāz-dar-sāz ka.ī giit sunā jaatī hai
ġham ke zindāñ meñ dar aatā hai jo sannāTā kabhī
aarzū chupke se zanjīr hilā jaatī hai
ham kahāñ uThte haiñ ehsās kī dastak pe bhalā
vo to kahiye koī āvāz lagā jaatī hai
jab kabhī raat chhupātī hai badan kī shikneñ
raushnī baḌh ke har ik raaz batā jaatī hai
thak ke so jaatī haiñ jab soch kī kirneñ 'at.har'
koī lai baḌh ke lahū apnā jalā jaatī hai
koi bhi lamha ho ek aag laga jati hai
yaad-e-mazi hai ki rang apna dikha jati hai
dil mein ummid ki diwar uThe ya na uThe
aagahi dard ki dahliz bana jati hai
jaane wo kaun si ek lahr chhupi hai dil mein
saz-dar-saz kai git suna jati hai
gham ke zindan mein dar aata hai jo sannaTa kabhi
aarzu chupke se zanjir hila jati hai
hum kahan uThte hain ehsas ki dastak pe bhala
wo to kahiye koi aawaz laga jati hai
jab kabhi raat chhupati hai badan ki shiknen
raushni baDh ke har ek raaz bata jati hai
thak ke so jati hain jab soch ki kirnen 'athar'
koi lai baDh ke lahu apna jala jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.