koi dil mein aa baiTha aur chuTki li armanon mein
koi dil mein aa baiTha aur chuTki li armanon mein
Farhan Hanif Warsi
MORE BYFarhan Hanif Warsi
koī dil meñ aa baiThā aur chuTkī lī armānoñ meñ
raat ajab manzar dekhā jab chāñd khilā maidānoñ meñ
peT kī zillat ne bil-āḳhir bāzāroñ nīlām kiyā
izzat jaane qaid thī kab se maurūsī tah-ḳhānoñ meñ
jaise koī dhīme lafzoñ merā naam pukāre hai
ek sadā rah rah kar ab bhī dar aatī hai kānoñ meñ
yādoñ kī ek titlī phirtī rahtī hai bechainī se
pyaar ke baasī bhuul abhī tak rakkhe haiñ gul-dānoñ meñ
soch se is ko duur rakhūñ maiñ jab bhī likkhūñ duniyā kī
jaane kaise bas jaatā hai vo mere afsānoñ meñ
nāp-tol kar nazmeñ ġhazleñ kahnā tum farhān-'hanīf'
vaznī vaznī baaT rakhe haiñ tanqīdī mīzānoñ meñ
koi dil mein aa baiTha aur chuTki li armanon mein
raat ajab manzar dekha jab chand khila maidanon mein
peT ki zillat ne bil-aKHir bazaron nilam kiya
izzat jaane qaid thi kab se maurusi tah-KHanon mein
jaise koi dhime lafzon mera nam pukare hai
ek sada rah rah kar ab bhi dar aati hai kanon mein
yaadon ki ek titli phirti rahti hai bechaini se
pyar ke basi bhul abhi tak rakkhe hain gul-danon mein
soch se is ko dur rakhun main jab bhi likkhun duniya ki
jaane kaise bas jata hai wo mere afsanon mein
nap-tol kar nazmen ghazlen kahna tum farhan-'hanif'
wazni wazni baT rakhe hain tanqidi mizanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.