kuchh aise mahw hon aankhen jo khol kar dekhen
kuchh aise mahv hoñ āñkheñ jo khol kar dekheñ
usī kā jalva nazar aa.e ham jidhar dekheñ
dam-e-aḳhīr koī aarzū nahīñ dil meñ
ye aarzū hai ki ham tujh ko ik nazar dekheñ
unheñ banāo se fursat kahāñ shab-e-va.ada
fuzūl shaam se kyoñ raah tā-sahar dekheñ
riyāz dahr meñ phūle samā.eñ ham kyūñkar
jo apne naḳhl-e-tamannā ko bārvar dekheñ
idhar hai merā jigar aur udhar hai dil merā
vo kashmakash meñ paḌe haiñ kidhar kidhar dekheñ
nisār chashm-e-ināyat pe ham hoñ so dil se
vo is nazar se agar ham ko ik nazar dekheñ
ḳhabar milī hai mujhe aaj un ke aane kī
jo ahl-e-ishq hoñ vo aah kā asar dekheñ
jo kuchh ho dil meñ hamāre uThā na rakkheñ ham
jo kuchh ho aap ke dil meñ vo aap kar dekheñ
nahīñ pasand mujhe nukta-chīniyāñ 'hāmid'
kisī ke aib ko kyā dekheñ ham hunar dekheñ
kuchh aise mahw hon aankhen jo khol kar dekhen
usi ka jalwa nazar aae hum jidhar dekhen
dam-e-aKHir koi aarzu nahin dil mein
ye aarzu hai ki hum tujh ko ek nazar dekhen
unhen banao se fursat kahan shab-e-wada
fuzul sham se kyon rah ta-sahar dekhen
riyaz dahr mein phule samaen hum kyunkar
jo apne naKHl-e-tamanna ko barwar dekhen
idhar hai mera jigar aur udhar hai dil mera
wo kashmakash mein paDe hain kidhar kidhar dekhen
nisar chashm-e-inayat pe hum hon so dil se
wo is nazar se agar hum ko ek nazar dekhen
KHabar mili hai mujhe aaj un ke aane ki
jo ahl-e-ishq hon wo aah ka asar dekhen
jo kuchh ho dil mein hamare uTha na rakkhen hum
jo kuchh ho aap ke dil mein wo aap kar dekhen
nahin pasand mujhe nukta-chiniyan 'hamid'
kisi ke aib ko kya dekhen hum hunar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.