kya jaane tu ne kaun si bedad aaj ki
kyā jaane tū ne kaun sī bedād aaj kī
jo dil ne jā-ba-jā tirī fariyād aaj kī
rahnā mudām vasl to ma.alūm par miyāñ
sohbat rahegī mujh ko bahut yaad aaj kī
lo sach kaho bulāte ho kyoñ mujh ko har ghaḌī
taaza koī jafā magar ījād aaj kī
dil ko to kal hī phūñk chukā thā vo sho.ala-ḳhū
haañ raakh kuchh paḌī thī so barbād aaj kī
ik dam meñ dām-e-zulf se pakḌā ye murġh-e-dil
phurtī to tū ne aur hī sayyād aaj kī
mismār phir to kal hī karegā navāh-e-dil
kuchh fā.eda nahīñ hai jo buniyād aaj kī
gaalī dī mujh ko pyaar se maiñ shaad ho gayā
ye zor chiiz aap ne imdād aaj kī
kyā kyā ḳhayāl dil meñ guzarte haiñ hai ġhazab
kyoñ tū ne der qatl meñ jallād aaj kī
jis baat kā qalaq mujhe ik umr thā rahā
'afsos' tū ne phir vahī irshād aaj kī
kya jaane tu ne kaun si bedad aaj ki
jo dil ne ja-ba-ja teri fariyaad aaj ki
rahna mudam wasl to malum par miyan
sohbat rahegi mujh ko bahut yaad aaj ki
lo sach kaho bulate ho kyon mujh ko har ghaDi
taza koi jafa magar ijad aaj ki
dil ko to kal hi phunk chuka tha wo shoala-KHu
han rakh kuchh paDi thi so barbaad aaj ki
ek dam mein dam-e-zulf se pakDa ye murgh-e-dil
phurti to tu ne aur hi sayyaad aaj ki
mismar phir to kal hi karega nawah-e-dil
kuchh faeda nahin hai jo buniyaad aaj ki
gali di mujh ko pyar se main shad ho gaya
ye zor chiz aap ne imdad aaj ki
kya kya KHayal dil mein guzarte hain hai ghazab
kyon tu ne der qatl mein jallad aaj ki
jis baat ka qalaq mujhe ek umr tha raha
'afsos' tu ne phir wahi irshad aaj ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.