kyā tā-ba-zabāñ aa.e dil-e-zār kī āvāz
bīmār ke mānind hai bīmār kī āvāz
muusā kī pasand aa.ī hai takrār kī āvāz
matlūb huī tālib-e-dīdār kī āvāz
duunī na ho kyoñ āmad-e-dildār kī āvāz
ḳhalḳhāl kī āvāz hai raftār kī āvāz
kahte haiñ vo sun sun ke dil-e-zār kī āvāz
aatī hai ye shāyad mire bīmār kī āvāz
itnā gul-e-gulshan ke liye shor machāyā
paḌ paḌ ga.ī murġhān-e-giraftār kī āvāz
ab haal ye hai zo.af-o-naqāhat se masīhā
aatī nahīñ lab tak tire bīmār kī āvāz
surme kā asar baḳht-e-siyah rakhtā hai us kā
ho band na kyoñ murġh-e-giraftār kī āvāz
jab abrū-e-ḳhamdār kā hotā hai tasavvur
aatī hai mire kaan meñ talvār kī āvāz
sayyād qafas ko to zarā dekh le jākar
aatī nahīñ kyoñ bulbul-e-gulzār kī āvāz
kyā jaane huā kyā dil-e-behāl ko mere
aatī nahīñ mujh tak mire bīmār kī āvāz
hai shor yam-e-ashk kā jis tarah jahāñ meñ
us tarah nahīñ qulzum-o-zaḳhḳhār kī āvāz
iflās ne gherā hai faqīroñ ko ye tere
kānoñ meñ bhī aatī nahīñ dīnār kī āvāz
kushta kiyā ik baar sadā mujh ko sunā ke
qātil hai mire zālim-e-ḳhuñḳhār kī āvāz
lahrātī huī aap ye aatī hai laboñ tak
kyā mast hai saaqī tire mai-ḳhvār kī āvāz
ushshāq kā sun sun ke jigar hotā hai TukḌe
talvār hai ḳhud bhī tirī talvār kī āvāz
kartā maiñ sadā zer-e-mahal misl-e-gadā kyā
suntā nahīñ koī pas-e-dīvār kī āvāz
be-sāḳhta āñkhoñ se nikal aate haiñ aañsū
sunte haiñ agar āshiq-e-bīmār kī āvāz
dil toḌ diyā nāvak-e-mizhgāñ ne hamārā
tā-gosh na aa.e lab-e-sofār kī āvāz
das biis jagah baiTh ke aatī hai laboñ tak
bīmār hai iisā tire bīmār kī āvāz
āñkhoñ ko dikhā qabr meñ yā-rab ruḳh-e-anvar
kānoñ ko sunā haidar-e-karrār kī āvāz
hil jaatā hai nāloñ se dil-e-zār hamārā
suntā huuñ jo 'fāḳhir' kisī bīmār kī āvāz
kya ta-ba-zaban aae dil-e-zar ki aawaz
bimar ke manind hai bimar ki aawaz
musa ki pasand aai hai takrar ki aawaz
matlub hui talib-e-didar ki aawaz
duni na ho kyon aamad-e-dildar ki aawaz
KHalKHal ki aawaz hai raftar ki aawaz
kahte hain wo sun sun ke dil-e-zar ki aawaz
aati hai ye shayad mere bimar ki aawaz
itna gul-e-gulshan ke liye shor machaya
paD paD gai murghan-e-giraftar ki aawaz
ab haal ye hai zoaf-o-naqahat se masiha
aati nahin lab tak tere bimar ki aawaz
surme ka asar baKHt-e-siyah rakhta hai us ka
ho band na kyon murgh-e-giraftar ki aawaz
jab abru-e-KHamdar ka hota hai tasawwur
aati hai mere kan mein talwar ki aawaz
sayyaad qafas ko to zara dekh le jakar
aati nahin kyon bulbul-e-gulzar ki aawaz
kya jaane hua kya dil-e-behaal ko mere
aati nahin mujh tak mere bimar ki aawaz
hai shor yam-e-ashk ka jis tarah jahan mein
us tarah nahin qulzum-o-zaKHKHar ki aawaz
iflas ne ghera hai faqiron ko ye tere
kanon mein bhi aati nahin dinar ki aawaz
kushta kiya ek bar sada mujh ko suna ke
qatil hai mere zalim-e-KHunKHar ki aawaz
lahraati hui aap ye aati hai labon tak
kya mast hai saqi tere mai-KHwar ki aawaz
ushshaq ka sun sun ke jigar hota hai TukDe
talwar hai KHud bhi teri talwar ki aawaz
karta main sada zer-e-mahal misl-e-gada kya
sunta nahin koi pas-e-diwar ki aawaz
be-saKHta aankhon se nikal aate hain aansu
sunte hain agar aashiq-e-bimar ki aawaz
dil toD diya nawak-e-mizhgan ne hamara
ta-gosh na aae lab-e-sofar ki aawaz
das bis jagah baiTh ke aati hai labon tak
bimar hai isa tere bimar ki aawaz
aankhon ko dikha qabr mein ya-rab ruKH-e-anwar
kanon ko suna haidar-e-karrar ki aawaz
hil jata hai nalon se dil-e-zar hamara
sunta hun jo 'faKHir' kisi bimar ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.