lakh bahlaen kisi tarah bahalta hi nahin
laakh bahlā.eñ kisī tarah bahaltā hī nahīñ
dil bhī lamhoñ kī tarah hai ki Thahartā hī nahīñ
ab ke mausam pe to jaadū koī chaltā hī nahīñ
abr uThtā hai magar khul ke barastā hī nahīñ
koī ḳhushbū na koī us kī kasak hai is meñ
us ke patthar se mire zaḳhm kā rishta hī nahīñ
jitnā suljhāte haiñ utnā hī ulajh jaatā hai
mas.ala ziist kā ab mujh se sulajhtā hī nahīñ
āñdhiyoñ kā karam-e-ḳhās rahā hai mujh par
ab koī sho.ala nasheman pe lapaktā hī nahīñ
maiñ bhī bik jaatā kabhī misr kī ḳhātūn ke haath
qāfila koī idhar ho ke nikaltā hī nahīñ
chup hai ab vo mire hālāt ke pas-manzar meñ
ab mire sar koī ilzām vo dhartā hī nahīñ
jis meñ ḳhud-bīnī ḳhud-ārā.ī-o-ḳhuddārī hai
maslahat ke kisī sāñche meñ vo Dhaltā hī nahīñ
ye haqīqat hai tire tark-e-ta.alluq kī qasam
ḳhaar ab koī mire dil meñ khaTaktā hī nahīñ
jaane kis manzil-e-mauhūm pe aa pahuñche haiñ
rāsta koī hamārā yahāñ taktā hī nahīñ
kitne mansūr haiñ kahne ko anal-haq kah deñ
daar kī samt magar ruḳh koī kartā hī nahīñ
tīr-o-talvār kā har zaḳhm sañvar saktā hai
baat kā zaḳhm kisī haal meñ bhartā hī nahīñ
ye mohabbat kā samundar vo samundar hai 'zuhūr'
Dūbne vaalā kisī vaqt ubhartā hī nahīñ
lakh bahlaen kisi tarah bahalta hi nahin
dil bhi lamhon ki tarah hai ki Thaharta hi nahin
ab ke mausam pe to jadu koi chalta hi nahin
abr uThta hai magar khul ke barasta hi nahin
koi KHushbu na koi us ki kasak hai is mein
us ke patthar se mere zaKHm ka rishta hi nahin
jitna suljhate hain utna hi ulajh jata hai
masala zist ka ab mujh se sulajhta hi nahin
aandhiyon ka karam-e-KHas raha hai mujh par
ab koi shoala nasheman pe lapakta hi nahin
main bhi bik jata kabhi misr ki KHatun ke hath
qafila koi idhar ho ke nikalta hi nahin
chup hai ab wo mere haalat ke pas-manzar mein
ab mere sar koi ilzam wo dharta hi nahin
jis mein KHud-bini KHud-arai-o-KHuddari hai
maslahat ke kisi sanche mein wo Dhalta hi nahin
ye haqiqat hai tere tark-e-talluq ki qasam
KHar ab koi mere dil mein khaTakta hi nahin
jaane kis manzil-e-mauhum pe aa pahunche hain
rasta koi hamara yahan takta hi nahin
kitne mansur hain kahne ko anal-haq kah den
dar ki samt magar ruKH koi karta hi nahin
tir-o-talwar ka har zaKHm sanwar sakta hai
baat ka zaKHm kisi haal mein bharta hi nahin
ye mohabbat ka samundar wo samundar hai 'zuhur'
Dubne wala kisi waqt ubharta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.