lafzon mein inqalab ki tahrir qaid hai
lafzoñ meñ inqalāb kī tahrīr qaid hai
zehnoñ meñ zulm-o-jaur kī tasvīr qaid hai
kaise milegī talḳhī-e-ayyām se najāt
ab to hisār-e-zahr meñ iksīr qaid hai
baḌhtī hī jā rahī hai sitam-parvarī kī aag
āḳhir kahāñ duāoñ kī tāsīr qaid hai
hindostāñ hai dast-e-siyāsat meñ is tarah
jis tarah said-gāh meñ naḳhchīr qaid hai
barfīlī vādiyoñ meñ jahannum kā raqs hai
sho.aloñ meñ aaj jannat-e-kashmīr qaid hai
phūloñ kī bebasī kā kahāñ tak ho tazkira
kāñToñ meñ jab bahār kī tafsīr qaid hai
taqdīr kohkan pe lagātī hai qahqaha
dasht-e-anā meñ tesha-e-tadbīr qaid hai
in ūñchī chimniyoñ se nikalte dhueñ ke biich
mehnat-kashoñ ke ḳhvāb kī ta.abīr qaid hai
hai zindagī ġhanīm kī us vaqt tak 'nadīm'
jab tak mirī niyām meñ shamshīr qaid hai
lafzon mein inqalab ki tahrir qaid hai
zehnon mein zulm-o-jaur ki taswir qaid hai
kaise milegi talKHi-e-ayyam se najat
ab to hisar-e-zahr mein iksir qaid hai
baDhti hi ja rahi hai sitam-parwari ki aag
aaKHir kahan duaon ki tasir qaid hai
hindostan hai dast-e-siyasat mein is tarah
jis tarah said-gah mein naKHchir qaid hai
barfili wadiyon mein jahannum ka raqs hai
shoalon mein aaj jannat-e-kashmir qaid hai
phulon ki bebasi ka kahan tak ho tazkira
kanTon mein jab bahaar ki tafsir qaid hai
taqdir kohkan pe lagati hai qahqaha
dasht-e-ana mein tesha-e-tadbir qaid hai
in unchi chimniyon se nikalte dhuen ke bich
mehnat-kashon ke KHwab ki tabir qaid hai
hai zindagi ghanim ki us waqt tak 'nadim'
jab tak meri niyam mein shamshir qaid hai
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 35)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.