lazzat-e-dard baDha kar main ghazal kahta hun
lazzat-e-dard baDha kar main ghazal kahta hun
Iftikhar Ahmad Alvi Kakori
MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori
lazzat-e-dard baḌhā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
aag meñ ḳhud ko jalā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
jalva-e-husn-e-atam hai vo sarāpā-e-jamāl
us ke jalvoñ meñ samā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
imtiyāz-e-man-o-tū kaisā kahāñ kī tafrīq
juzv ko kul se milā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
yūrish-e-daur kahīñ gard mirī pā na sakeñ
sham'-e-ummīd bujhā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
aarzū vasl kī hai shauq meñ iksīr-e-hayāt
is meñ kuchh aañch dikhā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
harf nāmūs-e-mohabbat pe na aa jaa.e kahīñ
shaiḳh-e-nādāñ se chhupā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
nik.hat-e-nūr mukammal hai junūñ kī tafsīr
soz-e-ġham is meñ baḌhā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
ḳhair-maqdam ko pa.e-āmad-e-jānāñ 'alavī'
ashk palkoñ pe sajā kar maiñ ġhazal kahtā huuñ
lazzat-e-dard baDha kar main ghazal kahta hun
aag mein KHud ko jala kar main ghazal kahta hun
jalwa-e-husn-e-atam hai wo sarapa-e-jamal
us ke jalwon mein sama kar main ghazal kahta hun
imtiyaz-e-man-o-tu kaisa kahan ki tafriq
juzw ko kul se mila kar main ghazal kahta hun
yurish-e-daur kahin gard meri pa na saken
sham'-e-ummid bujha kar main ghazal kahta hun
aarzu wasl ki hai shauq mein iksir-e-hayat
is mein kuchh aanch dikha kar main ghazal kahta hun
harf namus-e-mohabbat pe na aa jae kahin
shaiKH-e-nadan se chhupa kar main ghazal kahta hun
nikhat-e-nur mukammal hai junun ki tafsir
soz-e-gham is mein baDha kar main ghazal kahta hun
KHair-maqdam ko pae-amad-e-jaanan 'alawi'
ashk palkon pe saja kar main ghazal kahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.