maal-e-hasil-e-gham ko gham-e-hasil samajhte hain

maal-e-hasil-e-gham ko gham-e-hasil samajhte hain
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
ma.āl-e-hāsil-e-ġham ko ġham-e-hāsil samajhte haiñ
fareb-e-jāda-e-manzil ko ham manzil samajhte haiñ
kabhī giryāñ-kunāñ hotī hai jab manzar kī betābi
ham us be-manzarī ko diid ke qābil samajhte haiñ
samajh saktī nahīñ ye chashm-e-nargis par ġhanīmat hai
chaman vaale hamārā 'uqda-e-mushkil samajhte haiñ
hameñ to dast-e-qātil bhī lage dast-e-masīhā sā
sitam-parvar haiñ jo qātil ko bhī qātil samajhte haiñ
haqīqat vā'izān-e-shahr kī khul hī ga.ī nāseh
adhūre haiñ jo ḳhud apne ta.iiñ kāmil samajhte haiñ
qafas ko le uḌī hai jumbish-e-par tā.ir-e-jāñ kī
ye bāteñ sāhibān-e-jazba-e-kāmil samajhte haiñ
abhī tak maslahat-bīnī ke jo zer-e-tasallut haiñ
fusūñ-ārā siyāsat meñ hameñ shāmil samajhte haiñ
suno ham kushtagāñ kī sākinān-e-shahr-e-ḳhvāb-āvar
tumhāre haal se vāqif haiñ mustaqbil samajhte haiñ
fanā ho sham'-e-nāmūs-e-vafā par baḌh ke parvāne
yahī hai kār-e-āsāñ sab jise mushkil samajhte haiñ
nazar se pī le jo durd-e-tah-e-jām-e-mohabbat ko
ham us mahfil-nashīñ ko sāhib-e-mahfil samajhte haiñ
masalte haiñ rag-e-ehsās ko pairoñ tale paiham
vo sang-e-rahguzar ko bhī hamārā dil samajhte haiñ
'muzaffar' kis ko andāza hai un kī tez-gāmī kā
jo sang-e-mīl ko gard-e-rah-e-manzil samajhte haiñ
maal-e-hasil-e-gham ko gham-e-hasil samajhte hain
fareb-e-jada-e-manzil ko hum manzil samajhte hain
kabhi giryan-kunan hoti hai jab manzar ki betabi
hum us be-manzari ko did ke qabil samajhte hain
samajh sakti nahin ye chashm-e-nargis par ghanimat hai
chaman wale hamara 'uqda-e-mushkil samajhte hain
hamein to dast-e-qatil bhi lage dast-e-masiha sa
sitam-parwar hain jo qatil ko bhi qatil samajhte hain
haqiqat wa'izan-e-shahr ki khul hi gai naseh
adhure hain jo KHud apne tain kaamil samajhte hain
qafas ko le uDi hai jumbish-e-par tair-e-jaan ki
ye baaten sahiban-e-jazba-e-kaamil samajhte hain
abhi tak maslahat-bini ke jo zer-e-tasallut hain
fusun-ara siyasat mein hamein shamil samajhte hain
suno hum kushtagan ki sakinan-e-shahr-e-KHwab-awar
tumhaare haal se waqif hain mustaqbil samajhte hain
fana ho sham'-e-namus-e-wafa par baDh ke parwane
yahi hai kar-e-asan sab jise mushkil samajhte hain
nazar se pi le jo durd-e-tah-e-jam-e-mohabbat ko
hum us mahfil-nashin ko sahib-e-mahfil samajhte hain
masalte hain rag-e-ehsas ko pairon tale paiham
wo sang-e-rahguzar ko bhi hamara dil samajhte hain
'muzaffar' kis ko andaza hai un ki tez-gami ka
jo sang-e-mil ko gard-e-rah-e-manzil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.