Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maal-e-kar na kuchh bhi hua to kya hoga

Hosh Bilgrami

maal-e-kar na kuchh bhi hua to kya hoga

Hosh Bilgrami

MORE BYHosh Bilgrami

    ma.āl-e-kār na kuchh bhī huā to kyā hogā

    na ham rahe na zamāna rahā to kyā hogā

    maiñ hañs rahā huuñ zamāne shād-kāmī par

    charāġh-e-aish jo gul ho gayā to kyā hogā

    mujhe fareb na de ai tilism-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl

    ruḳh-e-hayāt agar phir gayā to kyā hogā

    zamīr-e-dahr meñ vo zindagī lahr kahāñ

    diloñ meñ soz-e-mohabbat rahā to kyā hogā

    talāsh-e-manzil-e-hastī zarūr hai lekin

    nishān-e-rāh na gar mil sakā to kyā hogā

    tumheñ yaqīñ hai ki hai khel raqs-e-betābi

    jo mere dil ko sukūñ aa gayā to kyā hogā

    ma.āl-e-mausam-e-gul hai ḳhizāñ to phir ai 'hosh'

    huī bhī da.avat-e-āb-o-havā to kyā hogā

    maal-e-kar na kuchh bhi hua to kya hoga

    na hum rahe na zamana raha to kya hoga

    main hans raha hun zamane ki shad-kaami par

    charagh-e-aish jo gul ho gaya to kya hoga

    mujhe fareb na de ai tilism-e-KHwab-o-KHayal

    ruKH-e-hayat agar phir gaya to kya hoga

    zamir-e-dahr mein wo zindagi ki lahr kahan

    dilon mein soz-e-mohabbat raha to kya hoga

    talash-e-manzil-e-hasti zarur hai lekin

    nishan-e-rah na gar mil saka to kya hoga

    tumhein yaqin hai ki hai khel raqs-e-betabi

    jo mere dil ko sukun aa gaya to kya hoga

    maal-e-mausam-e-gul hai KHizan to phir ai 'hosh'

    hui bhi dawat-e-ab-o-hawa to kya hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now