main anayas bhaTakta raha virane mein
maiñ anāyās bhaTaktā rahā vīrāne meñ
achchhā-ḳhāsā thā ḳhudā us ke badan-khāne meñ
bahr se khele hue saare shanāvar ik din
Duub jaate haiñ kisī chāh-e-zanaḳhdāne meñ
dard tūfān-sifat haiñ inheñ dariyā meñ utaar
mauj rukne kī nahīñ aañkh ke paimāne meñ
ek nuqsān tujhe kho ke sahā kaafī thā
aur nuqsān hai is baar tujhe paane meñ
ik yahī baat bahut hai tirā dīvāna hai
aur kuchh baat nahīñ hai tire dīvāne meñ
main anayas bhaTakta raha virane mein
achchha-KHasa tha KHuda us ke badan-khane mein
bahr se khele hue sare shanawar ek din
Dub jate hain kisi chah-e-zanaKHdane mein
dard tufan-sifat hain inhen dariya mein utar
mauj rukne ki nahin aankh ke paimane mein
ek nuqsan tujhe kho ke saha kafi tha
aur nuqsan hai is bar tujhe pane mein
ek yahi baat bahut hai tera diwana hai
aur kuchh baat nahin hai tere diwane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.