main badalte mausamon ke rang se bezar hun
maiñ badalte mausamoñ ke rañg se bezār huuñ
har na.ī rut se chaman meñ barsar-e-paikār huuñ
husn-e-yūsuf ke ḳharīdāro baḌho merī taraf
maiñ adab ke dā.ere meñ misr kā bāzār huuñ
vaqt ke hāthoñ bigaḌtā huuñ sañvarne ke liye
maiñ samundar ke kināre ret kī dīvār huuñ
kaun sā hai marhala jo mujh se tai paatā nahīñ
maiñ ḳhud apne rāste kī manzil-e-dushvār huuñ
jis ko paḌhnā hai mujhe vo pahlī fursat meñ paḌhe
sub.h ke hāthoñ meñ pichhlī raat kā aḳhbār huuñ
ḳhvāb hai mere liye mauj-e-havā kī tāzgī
maiñ shajar par zard patte kī tarah bedār huuñ
merī gardan par 'sabā' hai apnī shohrat kā lahū
maiñ amal kī raushnī meñ jurm kā iqrār huuñ
main badalte mausamon ke rang se bezar hun
har nai rut se chaman mein barsar-e-paikar hun
husn-e-yusuf ke KHaridaro baDho meri taraf
main adab ke daere mein misr ka bazar hun
waqt ke hathon bigaDta hun sanwarne ke liye
main samundar ke kinare ret ki diwar hun
kaun sa hai marhala jo mujh se tai pata nahin
main KHud apne raste ki manzil-e-dushwar hun
jis ko paDhna hai mujhe wo pahli fursat mein paDhe
subh ke hathon mein pichhli raat ka aKHbar hun
KHwab hai mere liye mauj-e-hawa ki tazgi
main shajar par zard patte ki tarah bedar hun
meri gardan par 'saba' hai apni shohrat ka lahu
main amal ki raushni mein jurm ka iqrar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.