main ek andhe kuen ka qaidi kise milunga
maiñ ek andhe kueñ kā qaidī kise milūñgā
kahāñ mujhe DhūñDhne chalī hai najāt merī
ḳhajālat-e-darguzar se lab par duā na Thahrī
dar-e-samā.at se lauT aa.ī hai raat merī
maiñ kis ke qaul o qarār se apne ashk pochhūñ
mukar ga.ī hai ḳhud apne vādoñ se zaat merī
hai tishnagī kā nayā hī ik zā.iqa laboñ par
sarāb andar sarāb gardāñ hayāt merī
tanāb-e-ḳhema ke TūTne tak qayām merā
ki shāḳh-e-āhū pe aaj bhī hai barāt merī
main ek andhe kuen ka qaidi kise milunga
kahan mujhe DhunDhne chali hai najat meri
KHajalat-e-darguzar se lab par dua na Thahri
dar-e-samaat se lauT aai hai raat meri
main kis ke qaul o qarar se apne ashk pochhun
mukar gai hai KHud apne wadon se zat meri
hai tishnagi ka naya hi ek zaiqa labon par
sarab andar sarab gardan hayat meri
tanab-e-KHema ke TuTne tak qayam mera
ki shaKH-e-ahu pe aaj bhi hai baraat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.