main intiha-e-yas mein tanha khaDa raha
maiñ intihā-e-yās meñ tanhā khaḌā rahā
saaya mirā sharīk-e-safar DhūñDhtā rahā
phailī thī chāroñ samt siyāhī ajiib sī
maiñ haath meñ charāġh liye ghūmtā rahā
yaad us kī duur mujh ko sar-e-shām le ga.ī
maiñ saarī raat apne liye jāgtā rahā
ḳhud ko sameT lene kā anjām ye huā
maiñ rāste pe sañg kī sūrat paḌā rahā
kāġhaz kī naav gahre samundar meñ chhoḌ kar
maiñ us ke Dūbne kā samāñ dekhtā rahā
ThanDī havā ke lams kā ehsās thā ajiib
maiñ der tak shajar kī tarah jhūmtā rahā
main intiha-e-yas mein tanha khaDa raha
saya mera sharik-e-safar DhunDhta raha
phaili thi chaaron samt siyahi ajib si
main hath mein charagh liye ghumta raha
yaad us ki dur mujh ko sar-e-sham le gai
main sari raat apne liye jagta raha
KHud ko sameT lene ka anjam ye hua
main raste pe sang ki surat paDa raha
kaghaz ki naw gahre samundar mein chhoD kar
main us ke Dubne ka saman dekhta raha
ThanDi hawa ke lams ka ehsas tha ajib
main der tak shajar ki tarah jhumta raha
- Book : Mausam Mausam Roop (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.