main jise dasht samajhta raha ghar nikla hai
maiñ jise dasht samajhtā rahā ghar niklā hai
kyā ajab merī duāoñ se asar niklā hai
dil kī tārīkī se ik naala ḳhudā kī jānib
jāntā hai nahīñ pahuñchegā magar niklā hai
ik parinda ka.ī din se nahīñ lauTā to use
DhūñDhne baaġh se ik būḌhā shajar niklā hai
us ko ma.alūm nahīñ āsmāñ vāloñ ke fareb
faal meñ us ke ġhalat samt safar niklā hai
dūsrī baar liye jaatā hai dil jānib-e-ishq
yaar mushkil se abhī pahle kā Dar niklā hai
yuuñ uThā.ī hai nazar yaar ne merī jānib
maano kashtī ke ta.āqub meñ bhañvar niklā hai
main jise dasht samajhta raha ghar nikla hai
kya ajab meri duaon se asar nikla hai
dil ki tariki se ek nala KHuda ki jaanib
jaanta hai nahin pahunchega magar nikla hai
ek parinda kai din se nahin lauTa to use
DhunDhne bagh se ek buDha shajar nikla hai
us ko malum nahin aasman walon ke fareb
fal mein us ke ghalat samt safar nikla hai
dusri bar liye jata hai dil jaanib-e-ishq
yar mushkil se abhi pahle ka Dar nikla hai
yun uThai hai nazar yar ne meri jaanib
mano kashti ke taaqub mein bhanwar nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.