maine kab rakhna tha us but ko KHuda se pahle
maiñ ne kab rakhnā thā us but ko ḳhudā se pahle
kaash mujh par ye khulā hotā qazā se pahle
kitnī pātāl sarāoñ meñ bhaTaktā rahā huuñ
rāhat-e-jāñ tirī ārām-sarā se pahle
ham vo ḳhushbū haiñ jo yaktā.ī kī ḳhū rakhte haiñ
rābte toḌ ke aa bād-e-sabā se pahle
dil tire kufr pe hairān nahīñ hai mire dost
lā kī manzil bhī hai iqrār-e-vafā se pahle
ab zarūrī hai so hai dard baratne kā hunar
chup ke arkān adā kiije sadā se pahle
to zarūrat har ik ījād kī maañ hai ya.anī
zaḳhm ījād kiyā us ne davā se pahle
main ne kab rakhna tha us but ko KHuda se pahle
kash mujh par ye khula hota qaza se pahle
kitni patal saraon mein bhaTakta raha hun
rahat-e-jaan teri aaram-sara se pahle
hum wo KHushbu hain jo yaktai ki KHu rakhte hain
rabte toD ke aa baad-e-saba se pahle
dil tere kufr pe hairan nahin hai mere dost
la ki manzil bhi hai iqrar-e-wafa se pahle
ab zaruri hai so hai dard baratne ka hunar
chup ke arkan ada kije sada se pahle
to zarurat har ek ijad ki man hai yani
zaKHm ijad kiya us ne dawa se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.