maine likhi lahu se to tahrir bol uThi
maine likhi lahu se to tahrir bol uThi
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
maiñ ne likhī lahū se to tahrīr bol uThī
har qatl-e-be-qusūr kī tafsīr bol uThī
zindāñ meñ to maiñ mohr-ba-lab hī rahā magar
jhankār ban ke paañv kī zanjīr bol uThī
pūchhā ki qatl-o-ḳhūn ye hai kis nazar kā shauq
tan kar nigāh-e-vaqt kī shamshīr bol uThī
be-kār hai talab jo ḳhulūs-e-talab na ho
uTThe duā ko haath to tāsīr bol uThī
ā.īna dekhte hue jab bhī ḳhayāl meñ
maiñ chup rahā to aap kī tasvīr bol uThī
jaage shu.ūr-o-fikr to vīrān ziist meñ
tadbīr-e-kāmyāb kī taqdīr bol uThī
aksar yahī huā hai ki jab arz-e-shauq meñ
ujlat na ho sakī hai to tāḳhīr bol uThī
vo raaz jis ko kah na sakī sharm se zabān
un ke hinā.ī haath kī tahrīr bol uThī
thī sub.h-e-nau us aag pe gum-sum magar 'kalīm'
har ek jalte ḳhvāb kī ta.abīr bol uThī
main ne likhi lahu se to tahrir bol uThi
har qatl-e-be-qusur ki tafsir bol uThi
zindan mein to main mohr-ba-lab hi raha magar
jhankar ban ke panw ki zanjir bol uThi
puchha ki qatl-o-KHun ye hai kis nazar ka shauq
tan kar nigah-e-waqt ki shamshir bol uThi
be-kar hai talab jo KHulus-e-talab na ho
uTThe dua ko hath to tasir bol uThi
aaina dekhte hue jab bhi KHayal mein
main chup raha to aap ki taswir bol uThi
jage shuur-o-fikr to viran zist mein
tadbir-e-kaamyab ki taqdir bol uThi
aksar yahi hua hai ki jab arz-e-shauq mein
ujlat na ho saki hai to taKHir bol uThi
wo raaz jis ko kah na saki sharm se zaban
un ke hinai hath ki tahrir bol uThi
thi subh-e-nau us aag pe gum-sum magar 'kalim'
har ek jalte KHwab ki tabir bol uThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.