man mein jot jagane wale tyag gae ye Dera jogi
man meñ jot jagāne vaale tyaag ga.e ye Derā jogī
uttar dakhkhin pūrab pachchhim chāroñ or añdherā jogī
dvāre dvāre alakh jagāne ko to saarī 'umr paḌī hai
sej sajī do chaar ghaḌī ko kar le rain baserā jogī
is ghar meñ ik korā āñchal rote rote bhiig chalā hai
bhūle hī se sahī kabhī to maar idhar bhī pherā jogī
apne man meñ chor chhupā ho to phir dosh kisī kā kyā hai
vo hī rāh-rau vo hī rahzan apnā aap luTerā jogī
pal-do-pal ruk pahan gerue kapḌe ham bhī saath chaleñge
maar chalī ras-bharī javānī jogī vaalā pherā jogī
paañv paañv muḌtī pagDanDī aañkh jhapakte Das letī hai
jīvan kī nāgin kis ke bas is kā kaun saperā jogī
tū jo kahe to un zulfoñ kī narm chhāoñ hamrāh le chaleñ
jangal meñ kaale bādal kā saaya bahut ghanerā jogī
ye bhabhūt kis kī palkoñ kis ke bāloñ kī parchhā.īñ hai
tere saaf saped jism par kis ne rang bikherā jogī
kaan meñ kunDal kaḌā haath meñ lambe baal ghūñghrūñ vaale
tere tan ke chaar chaphere kis jogan kā gherā jogī
jis ne mujh ko ghar baḳhshā hai aur āvāra-gardī tujh ko
us kī rāhguzar kis ghar se kis raste par Derā jogī
har ruḳh par parchhā.īñ kisī kī har chehre par 'aks kisī kā
chalte phirte bāzāroñ meñ kyā terā kyā merā jogī
is bastī meñ 'ashk' kisī ik laḌke ko kunDal pahnā kar
ik laḌkī ne ye kah kar barbād kiyā tū merā jogī
man mein jot jagane wale tyag gae ye Dera jogi
uttar dakhkhin purab pachchhim chaaron or andhera jogi
dware dware alakh jagane ko to sari 'umr paDi hai
sej saji do chaar ghaDi ko kar le rain basera jogi
is ghar mein ek kora aanchal rote rote bhig chala hai
bhule hi se sahi kabhi to mar idhar bhi phera jogi
apne man mein chor chhupa ho to phir dosh kisi ka kya hai
wo hi rah-rau wo hi rahzan apna aap luTera jogi
pal-do-pal ruk pahan gerue kapDe hum bhi sath chalenge
mar chali ras-bhari jawani jogi wala phera jogi
panw panw muDti pagDanDi aankh jhapakte Das leti hai
jiwan ki nagin kis ke bas is ka kaun sapera jogi
tu jo kahe to un zulfon ki narm chhaon hamrah le chalen
jangal mein kale baadal ka saya bahut ghanera jogi
ye bhabhut kis ki palkon kis ke baalon ki parchhain hai
tere saf saped jism par kis ne rang bikhera jogi
kan mein kunDal kaDa hath mein lambe baal ghunghrun wale
tere tan ke chaar chaphere kis jogan ka ghera jogi
jis ne mujh ko ghar baKHsha hai aur aawara-gardi tujh ko
us ki rahguzar kis ghar se kis raste par Dera jogi
har ruKH par parchhain kisi ki har chehre par 'aks kisi ka
chalte phirte bazaron mein kya tera kya mera jogi
is basti mein 'ashk' kisi ek laDke ko kunDal pahna kar
ek laDki ne ye kah kar barbaad kiya tu mera jogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.