Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil-e-maqsud milti hai rah-e-tadbir se

Musavvir Lakhnavi

manzil-e-maqsud milti hai rah-e-tadbir se

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    manzil-e-maqsūd miltī hai rah-e-tadbīr se

    kuchh nahīñ hotā hai hāsil shikva-e-taqdīr se

    aaj Dar jaate haiñ ma.amūlī ik ta.azīr se

    vo bhī din the jab gale milte the ham shamshīr se

    niiñd uḌ jaatī hai us āvāz tāsīr se

    jab azaañ detā hai koī naġhma-e-dil-gīr se

    kyā laḌeñge ham se vo talvār se shamshīr se

    dil dahal jaate haiñ jin ke nāra-e-takbīr se

    aaj phir chāroñ taraf islām par yalġhār hai

    kaam lenā hai hameñ phir jazba-e-shabbīr se

    jab kabhī maiñ chāhtā huuñ apnī sūrat dekhnā

    aa.ine kaam letā huuñ tirī tasvīr se

    jazba-e-josh-e-junūñ merā ab is manzil meñ hai

    haal un pūchhtā phirtā huuñ har rah-gīr se

    chhoḌ denā apnā māhaul itnā āsāñ bhī nahīñ

    jo añdhere meñ haiñ un ko kyā ġharaz tanvīr se

    iztirābī kaifiyat hotī hai jab tere baġhair

    dil ko bahlā letā huuñ aksar tirī tasvīr se

    nabz-e-ālam ruk ga.ī hogī shab-e-isrā zarūr

    be-haqīqat zau-fishāñ hiltī huī zanjīr se

    ai 'musavvir' dekh ye bhī gardish-e-lail-o-nahār

    mil gayā hai silsila taḳhrīb ta.amīr se

    manzil-e-maqsud milti hai rah-e-tadbir se

    kuchh nahin hota hai hasil shikwa-e-taqdir se

    aaj Dar jate hain mamuli si ek tazir se

    wo bhi din the jab gale milte the hum shamshir se

    nind uD jati hai us aawaz ki tasir se

    jab azan deta hai koi naghma-e-dil-gir se

    kya laDenge hum se wo talwar se shamshir se

    dil dahal jate hain jin ke nara-e-takbir se

    aaj phir chaaron taraf islam par yalghaar hai

    kaam lena hai hamein phir jazba-e-shabbir se

    jab kabhi main chahta hun apni surat dekhna

    aaine ka kaam leta hun teri taswir se

    jazba-e-josh-e-junun mera ab is manzil mein hai

    haal un ka puchhta phirta hun har rah-gir se

    chhoD dena apna mahaul itna aasan bhi nahin

    jo andhere mein hain un ko kya gharaz tanwir se

    iztirabi kaifiyat hoti hai jab tere baghair

    dil ko bahla leta hun aksar teri taswir se

    nabz-e-alam ruk gai hogi shab-e-isra zarur

    be-haqiqat zau-fishan hilti hui zanjir se

    ai 'musawwir' dekh ye bhi gardish-e-lail-o-nahaar

    mil gaya hai silsila taKHrib ka tamir se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now