marmarin chand ki lau machalti rahi raat Dhalti rahi
marmarīñ chāñd kī lau machaltī rahī raat Dhaltī rahī
dil bahaltā rahā jaañ sañbhaltī rahī raat Dhaltī rahī
ham musāfir the aur thī sharīk-e-safar ik havā-e-ḳhunuk
bastiyoñ meñ kahīñ aag jaltī rahī raat Dhaltī rahī
shahr-e-imkān meñ maiñ tire dhyān meñ jis taraf bhī gayā
ajnabī dhun mire saath chaltī rahī raat Dhaltī rahī
sāhil-e-yād par maiñ rahā jāgtā so sakā bhī to kyā
be-sukūñ lahr karvaT badaltī rahī raat Dhaltī rahī
'umr ke taaq meñ ik darīcha khulā raushnī se dhulā
sham-e-ehsās kuchh pal pighaltī rahī raat Dhaltī rahī
shāḳh-e-gul par kahīñ os paḌtī rahī āñsuoñ kī tarah
os paḌtī rahī shāḳh jaltī rahī raat Dhaltī rahī
shab sitāra thī lekin dhuāñ ho ga.ī be-amāñ ho ga.ī
muntazir aañkh meñ niiñd Taltī rahī raat Dhaltī rahī
kis ishāre pe raqqāsa-e-zindagī pā-ba-jaulāñ huī
raqs kartī rahī ḳhuuñ ugaltī rahī raat Dhaltī rahī
dhīre dhīre 'kafīl' āḳhirash kaT gayā rāsta rat-jagā
yūñhī chaltā rahā raat Dhaltī rahī raat Dhaltī rahī
marmarin chand ki lau machalti rahi raat Dhalti rahi
dil bahalta raha jaan sanbhalti rahi raat Dhalti rahi
hum musafir the aur thi sharik-e-safar ek hawa-e-KHunuk
bastiyon mein kahin aag jalti rahi raat Dhalti rahi
shahr-e-imkan mein main tere dhyan mein jis taraf bhi gaya
ajnabi dhun mere sath chalti rahi raat Dhalti rahi
sahil-e-yaad par main raha jagta so saka bhi to kya
be-sukun lahr karwaT badalti rahi raat Dhalti rahi
'umr ke taq mein ek daricha khula raushni se dhula
sham-e-ehsas kuchh pal pighalti rahi raat Dhalti rahi
shaKH-e-gul par kahin os paDti rahi aansuon ki tarah
os paDti rahi shaKH jalti rahi raat Dhalti rahi
shab sitara thi lekin dhuan ho gai be-aman ho gai
muntazir aankh mein nind Talti rahi raat Dhalti rahi
kis ishaare pe raqqasa-e-zindagi pa-ba-jaulan hui
raqs karti rahi KHun ugalti rahi raat Dhalti rahi
dhire dhire 'kafil' aaKHirash kaT gaya rasta rat-jaga
yunhi chalta raha raat Dhalti rahi raat Dhalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.