marte marte raushni ka KHwab to pura hua
marte marte raushnī kā ḳhvāb to puurā huā
bah gayā saarā lahū tan kā to din aadhā huā
rāstoñ par peḌ jab dekhe to aañsū aa ga.e
har shajar saaya thā terī yaad se miltā huā
sub.h se pahle badan kī dhuup meñ niiñd aa ga.ī
aur kitnā jāgtā maiñ raat kā jaagā huā
shahr-e-dil meñ is tarah har ġham ne pahchānā mujhe
jaise merā naam thā dīvār par likkhā huā
ziist ke pur-shor sāhil par ga.e lamhoñ kī yaad
jis tarah saaya ho sat.h-e-āb par Thahrā huā
ġham hue vo āshnā chehroñ ke ā.īne kahāñ
shahr hai saare kā saarā dhund meñ lipTā huā
vasl ke bādal zarā tham husn-e-qāmat dekh luuñ
pyaas kā sahrā to hai tā-chashm-e-tar phailā huā
mujh ko āshob-e-hikāyat jaan lene kī havas
aur ye terā badan ik dāstāñ kahtā huā
ġham jo miltā hai to ai tausīf siine se lagāo
kis ne lauTāyā hai yuuñ mehmān ghar aayā huā
marte marte raushni ka KHwab to pura hua
bah gaya sara lahu tan ka to din aadha hua
raston par peD jab dekhe to aansu aa gae
har shajar saya tha teri yaad se milta hua
subh se pahle badan ki dhup mein nind aa gai
aur kitna jagta main raat ka jaga hua
shahr-e-dil mein is tarah har gham ne pahchana mujhe
jaise mera nam tha diwar par likkha hua
zist ke pur-shor sahil par gae lamhon ki yaad
jis tarah saya ho sath-e-ab par Thahra hua
gham hue wo aashna chehron ke aaine kahan
shahr hai sare ka sara dhund mein lipTa hua
wasl ke baadal zara tham husn-e-qamat dekh lun
pyas ka sahra to hai ta-chashm-e-tar phaila hua
mujh ko aashob-e-hikayat jaan lene ki hawas
aur ye tera badan ek dastan kahta hua
gham jo milta hai to ai tausif sine se lagao
kis ne lauTaya hai yun mehman ghar aaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.