matlūb-e-dil na kyoñ nigah-e-tund-e-yār ho
aisā to tiir ho jo kaleje ke paar ho
bād-e-fanā jo qabr meñ dil be-qarār ho
shaq jā-ba-jā se saqf-o-zamīn-e-mazār ho
tīr-e-nigāh-e-shauq jo siine ke paar ho
ho pāsh-pāsh dil to kaleja figār ho
sāya-figan jo qabr pe abr-e-bahār ho
mujh par nuzūl rahmat-e-parvardigār ho
pahlū se apne pheñk duuñ tujh ko nikāl ke
ai dil jo imtihān pe tū be-qarār ho
raushan na kyoñ ho dāġh-e-jigar merā qabr meñ
koī to tīrgī meñ charāġh-e-mazār ho
jalva-fagan jo aap hoñ marqad meñ yā-alī
shām-e-mazār ye mirī sub.h-e-mazār ho
ho jā.ūñ nājiyoñ hī meñ yā āsiyoñ hī meñ
yā-rab mirā kisī na kisī meñ shumār ho
madd-e-nazar mujhe hai tirā imtihān aaj
ai tīr-e-āh gumbad-e-gardūñ ke paar ho
kahte haiñ DhūñDh DhūñDh ke vo merī qabr ko
yuuñ be-nishāñ kisī kā na yā-rab mazār ho
malte ho qabr par kaf-e-afsos kis liye
manzūr hai tumheñ ki dobāra fishār ho
ḳhuld-o-saqar meñ ahl-e-qayāmat chale ga.e
mujh ko bhī hukm kuchh mire parvardigār ho
bijlī girī kabhī kabhī bārish lahad pe ho
ḳhandāñ koī ho aur koī ashk-bār ho
gesū karo jo aa ke pareshāñ sar-e-lahad
phir kyoñ na zer-e-qabr mujhe intishār ho
tum taḌpo misl-e-mauj maiñ taḌpūñ misāl-e-barq
tum ko na ho qarār na mujh ko qarār ho
ai sham.a mujh ġharīb kā baaqī koī nahīñ
tū hī zarā lahad pe mire ashk-bār ho
tīr-e-nigāh aap kā itnā to ho bhalā
dil toḌ kar baḌhe to kaleje ke paar ho
suntā huuñ baad marg ke hotī hai dīd-e-dost
de duuñ maiñ apnī jaan agar iḳhtiyār ho
pahlū se dil nikāl ke le jā.iyegā ba.ad
pahle hamāre aap ke qaul-o-qarār ho
turfa hai ye nasheb-o-farāz-e-tarīq-e-ishq
paidal jilau meñ qais ho lailā savār ho
jaatī haiñ gar buland tirī nāvak-e-ḳhayāl
'fāḳhir' falak pe tā.ir-e-mazmūñ shikār ho
matlub-e-dil na kyon nigah-e-tund-e-yar ho
aisa to tir ho jo kaleje ke par ho
baad-e-fana jo qabr mein dil be-qarar ho
shaq ja-ba-ja se saqf-o-zamin-e-mazar ho
tir-e-nigah-e-shauq jo sine ke par ho
ho pash-pash dil to kaleja figar ho
saya-figan jo qabr pe abr-e-bahaar ho
mujh par nuzul rahmat-e-parwardigar ho
pahlu se apne phenk dun tujh ko nikal ke
ai dil jo imtihan pe tu be-qarar ho
raushan na kyon ho dagh-e-jigar mera qabr mein
koi to tirgi mein charagh-e-mazar ho
jalwa-fagan jo aap hon marqad mein ya-ali
sham-e-mazar ye meri subh-e-mazar ho
ho jaun najiyon hi mein ya aasiyon hi mein
ya-rab mera kisi na kisi mein shumar ho
madd-e-nazar mujhe hai tera imtihan aaj
ai tir-e-ah gumbad-e-gardun ke par ho
kahte hain DhunDh DhunDh ke wo meri qabr ko
yun be-nishan kisi ka na ya-rab mazar ho
malte ho qabr par kaf-e-afsos kis liye
manzur hai tumhein ki dobara fishaar ho
KHuld-o-saqar mein ahl-e-qayamat chale gae
mujh ko bhi hukm kuchh mere parwardigar ho
bijli giri kabhi kabhi barish lahad pe ho
KHandan koi ho aur koi ashk-bar ho
gesu karo jo aa ke pareshan sar-e-lahad
phir kyon na zer-e-qabr mujhe intishaar ho
tum taDpo misl-e-mauj main taDpun misal-e-barq
tum ko na ho qarar na mujh ko qarar ho
ai shama mujh gharib ka baqi koi nahin
tu hi zara lahad pe mere ashk-bar ho
tir-e-nigah aap ka itna to ho bhala
dil toD kar baDhe to kaleje ke par ho
sunta hun baad marg ke hoti hai did-e-dost
de dun main apni jaan agar iKHtiyar ho
pahlu se dil nikal ke le jaiyega baad
pahle hamare aap ke qaul-o-qarar ho
turfa hai ye nasheb-o-faraaz-e-tariq-e-ishq
paidal jilau mein qais ho laila sawar ho
jati hain gar buland teri nawak-e-KHayal
'faKHir' falak pe tair-e-mazmun shikar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.