mauj-e-sarkash hun main na dariya hun
mauj-e-sarkash huuñ maiñ na dariyā huuñ
phir bhī ik manzar-e-tamāsha huuñ
chand qatroñ meñ vo huā sairāb
maiñ samundar huuñ phir bhī pyāsā huuñ
apnī hī justujū meñ gum tanhā
maiñ ghane jañgaloñ meñ rahtā huuñ
tum jo badle ho mausamoñ kī tarah
vaqt ke saath maiñ bhī badlā huuñ
merā maskan hai sīna-e-kohsār
maiñ ik ā.īna-e-sarāpā huuñ
vo hai shabnam ke ābgīnoñ meñ
maiñ ik āsūda-e-tamanna huuñ
'sāhil' us kī nigāh hai mujh par
bazm meñ ik taraf maiñ baiThā huuñ
mauj-e-sarkash hun main na dariya hun
phir bhi ek manzar-e-tamasha hun
chand qatron mein wo hua sairab
main samundar hun phir bhi pyasa hun
apni hi justuju mein gum tanha
main ghane jangalon mein rahta hun
tum jo badle ho mausamon ki tarah
waqt ke sath main bhi badla hun
mera maskan hai sina-e-kohsar
main ek aaina-e-sarapa hun
wo hai shabnam ke aabginon mein
main ek aasuda-e-tamanna hun
'sahil' us ki nigah hai mujh par
bazm mein ek taraf main baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.