mausamon ke sath chalne ka hunar rakhta hun main
mausamoñ ke saath chalne kā hunar rakhtā huuñ maiñ
dosh par ThanDī havā ke apnā ghar rakhtā huuñ maiñ
gardish-e-hālāt ne pohñchā diyā mujh ko kahāñ
apnī rāteñ apne din apnī sahar rakhtā huuñ maiñ
aap kī tahrīr ke is pech-o-ḳham ko dekh kar
apne andāz-e-nigārish par nazar rakhtā huuñ maiñ
āgahī kā dars shāmil jis meñ hotā hai 'adīm'
vo sabaq apnī nazar meñ mo'tabar rakhtā huuñ maiñ
mausamon ke sath chalne ka hunar rakhta hun main
dosh par ThanDi hawa ke apna ghar rakhta hun main
gardish-e-haalat ne pohncha diya mujh ko kahan
apni raaten apne din apni sahar rakhta hun main
aap ki tahrir ke is pech-o-KHam ko dekh kar
apne andaz-e-nigarish par nazar rakhta hun main
aagahi ka dars shamil jis mein hota hai 'adim'
wo sabaq apni nazar mein mo'tabar rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.