maut aati hai gham aata hai azab aata hai
maut aati hai gham aata hai azab aata hai
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
maut aatī hai ġham aatā hai azaab aatā hai
saath in āfatoñ ko le ke shabāb aatā hai
āfateñ ā.eñgī ho jā.egā mahshar barpā
shoḳhiyāñ saath liye un kā shabāb aatā hai
ek hī baar javānī ho qayāmat aa jaa.e
naaz kartā huā kyoñ un kā shabāb aatā hai
us ke aane kī na jaane kī ḳhabar hotī hai
jaatā bhī vaise hī hai jaise shabāb aatā hai
yuuñ tirī tarah qayāmat nahīñ Dhātā koī
sab hī par ālam-e-hastī meñ shabāb aatā hai
sho.ala-rūyoñ kī mohabbat meñ phuñkā jaatā huuñ
dil jalāne ke liye ahd-e-shabāb aatā hai
har adā ban ke qazā jaan liye letī hai
un kā aThkheliyāñ kartā jo shabāb aatā hai
pesh-ḳhema hai javānī kā kisī kī mahram
joban uTh uTh ke ye kahtā hai shabāb aatā hai
chhīne jā.eñge jigar luuT diloñ kī hogī
lashkar-e-nāz liye un kā shabāb aatā hai
tum pe marte to haiñ aur is se sivā kyā hogā
kyoñ Darāte ho ye kah kah ke shabāb aatā hai
ḳhaak ho mujh ko ḳhushī un ke javāñ hone kī
merī hastī ke miTāne ko shabāb aatā hai
dekhiye hotī hai ab kaun sī aafat barpā
jis kā bachpan hai ġhazab us pe shabāb aatā hai
is qadar kyoñ dil-e-ushshāq haiñ ghabrā.e hue
kis sitam-kesh pe aalam meñ shabāb aatā hai
dekhiye girtī hai kitnoñ ke diloñ par bijlī
sunte haiñ dhuum se us but kā shabāb aatā hai
ye javānī hī to hai gulshan-e-hastī kā ubhār
aur ho jaatī hai sūrat jo shabāb aatā hai
shoḳhiyoñ ne tirī bechain kiyā kuchh aisā
dekhne ālam-e-tiflī ko shabāb aatā hai
jis tarah dhuup se aa jaa.e koī saaya meñ
itnī sī der ko insāñ pe shabāb aatā hai
parde parde meñ jatātā hai ye siine kā ubhār
le ke kuchh muTThiyoñ meñ un kā shabāb aatā hai
apnī barbādī kā pahle hī se mātam kar leñ
kahtī haiñ un kī adā.eñ ki shabāb aatā hai
saikḌoñ minnateñ is din ke liye maanī thiiñ
shukr kartā huuñ ki ab us pe shabāb aatā hai
rahte haiñ ḳhalq meñ afsāne sitam ke barsoñ
aur do din ko hasīnoñ pe shabāb aatā hai
milne vaalā hai qayāmat kā sitam ko rutba
husn us but kā baḌhāne ko shabāb aatā hai
qahr kī us ke bayāñ ho nahīñ saktī hālat
us se hī pūchhiye jis par ki shabāb aatā hai
aur ai 'bazm' kisī kā nahīñ kuchh bigḌegā
merī hī reḌh lagāne ko shabāb aatā hai
maut aati hai gham aata hai azab aata hai
sath in aafaton ko le ke shabab aata hai
aafaten aaengi ho jaega mahshar barpa
shoKHiyan sath liye un ka shabab aata hai
ek hi bar jawani ho qayamat aa jae
naz karta hua kyon un ka shabab aata hai
us ke aane ki na jaane ki KHabar hoti hai
jata bhi waise hi hai jaise shabab aata hai
yun teri tarah qayamat nahin Dhata koi
sab hi par aalam-e-hasti mein shabab aata hai
shoala-ruyon ki mohabbat mein phunka jata hun
dil jalane ke liye ahd-e-shabab aata hai
har ada ban ke qaza jaan liye leti hai
un ka aThkheliyan karta jo shabab aata hai
pesh-KHema hai jawani ka kisi ki mahram
joban uTh uTh ke ye kahta hai shabab aata hai
chhine jaenge jigar luT dilon ki hogi
lashkar-e-naz liye un ka shabab aata hai
tum pe marte to hain aur is se siwa kya hoga
kyon Daraate ho ye kah kah ke shabab aata hai
KHak ho mujh ko KHushi un ke jawan hone ki
meri hasti ke miTane ko shabab aata hai
dekhiye hoti hai ab kaun si aafat barpa
jis ka bachpan hai ghazab us pe shabab aata hai
is qadar kyon dil-e-ushshaq hain ghabrae hue
kis sitam-kesh pe aalam mein shabab aata hai
dekhiye girti hai kitnon ke dilon par bijli
sunte hain dhum se us but ka shabab aata hai
ye jawani hi to hai gulshan-e-hasti ka ubhaar
aur ho jati hai surat jo shabab aata hai
shoKHiyon ne teri bechain kiya kuchh aisa
dekhne aalam-e-tifli ko shabab aata hai
jis tarah dhup se aa jae koi saya mein
itni si der ko insan pe shabab aata hai
parde parde mein jatata hai ye sine ka ubhaar
le ke kuchh muTThiyon mein un ka shabab aata hai
apni barbaadi ka pahle hi se matam kar len
kahti hain un ki adaen ki shabab aata hai
saikDon minnaten is din ke liye mani thin
shukr karta hun ki ab us pe shabab aata hai
rahte hain KHalq mein afsane sitam ke barson
aur do din ko hasinon pe shabab aata hai
milne wala hai qayamat ka sitam ko rutba
husn us but ka baDhane ko shabab aata hai
qahr ki us ke bayan ho nahin sakti haalat
us se hi puchhiye jis par ki shabab aata hai
aur ai 'bazm' kisi ka nahin kuchh bigDega
meri hi reDh lagane ko shabab aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.