maut se jang kar raha hai kya
maut se jang kar rahā hai kyā
ab bhī jiine kā hausla hai kyā
jā rahe ho nazar churā.e hue
mere hāthoñ meñ aa.ina hai kyā
ashk āñkhoñ ke ḳhushk hone lage
us ne va.ada koī kiyā hai kyā
zindagī to guzar hī jā.egī
ġhair kā koī aasrā hai kyā
muskurāne lagīñ mirī āñkheñ
aaj vīrāna dil-kushā hai kyā
ghul gayā hai nasha havāoñ meñ
dar-e-mai-ḳhāna vā huā hai kyā
kitnī sanjīdgī hai chehre par
tū bhī har vaqt sochtā hai kyā
aaj dushman hai kal to apnā thā
raaz har ek kholtā hai kyā
shor karne lagī haiñ zanjīreñ
koī dīvāna aa gayā hai kyā
masjidoñ meñ namāziyoñ kā hujūm
phir koī hādisa huā hai kyā
baat kartā hai manziloñ kī bahut
rāhbar ye nayā nayā hai kyā
ab to ḳhāmosh ho ke baiTh 'nadīm'
is qadar koī boltā hai kyā
maut se jang kar raha hai kya
ab bhi jine ka hausla hai kya
ja rahe ho nazar churae hue
mere hathon mein aaina hai kya
ashk aankhon ke KHushk hone lage
us ne wada koi kiya hai kya
zindagi to guzar hi jaegi
ghair ka koi aasra hai kya
muskurane lagin meri aankhen
aaj virana dil-kusha hai kya
ghul gaya hai nasha hawaon mein
dar-e-mai-KHana wa hua hai kya
kitni sanjidgi hai chehre par
tu bhi har waqt sochta hai kya
aaj dushman hai kal to apna tha
raaz har ek kholta hai kya
shor karne lagi hain zanjiren
koi diwana aa gaya hai kya
masjidon mein namaziyon ka hujum
phir koi hadisa hua hai kya
baat karta hai manzilon ki bahut
rahbar ye naya naya hai kya
ab to KHamosh ho ke baiTh 'nadim'
is qadar koi bolta hai kya
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 37)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.