mere alfaz ko guftar ko kha jaegi
mere alfāz ko guftār ko khā jā.egī
merī vahshat mire afkār ko khā jā.egī
ashk roko nahī bah jaane do varna ik din
ye namī jism kī dīvār ko khā jā.egī
baat sun yaar mire dasht hī behtar hai tujhe
terī vīrānī to bāzār ko khā jā.egī
jāntā thā mire kirdār ke ḳhāliq kī nazar
biich afsāne meñ kirdār ko khā jā.egī
vaqt hai ab bhī ḳhudā aa ke bachā le is ko
ye udāsī tire shahkār ko khā jā.egī
zindagī piir se hafte ko agar khīñch bhī ga.ī
maut ārām se itvār ko khā jā.egī
aah 'ahmad' ye tirī ishq meñ paane kī havas
ye tire ishq ke me.aar ko khā jā.egī
mere alfaz ko guftar ko kha jaegi
meri wahshat mere afkar ko kha jaegi
ashk roko nahi bah jaane do warna ek din
ye nami jism ki diwar ko kha jaegi
baat sun yar mere dasht hi behtar hai tujhe
teri virani to bazar ko kha jaegi
jaanta tha mere kirdar ke KHaliq ki nazar
bich afsane mein kirdar ko kha jaegi
waqt hai ab bhi KHuda aa ke bacha le is ko
ye udasi tere shahkar ko kha jaegi
zindagi pir se hafte ko agar khinch bhi gai
maut aaram se itwar ko kha jaegi
aah 'ahmad' ye teri ishq mein pane ki hawas
ye tere ishq ke mear ko kha jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.