mere ehsasat ka aalam mera hi diwan lage
mere ehsāsāt kā aalam merā hī dīvān lage
lekin jab paḌhne ko baiThūñ zaḳhmoñ kī dūkān lage
terī qurbat se mujh par to itnī haqīqat khul hī ga.ī
mujh meñ basne vaalā insāñ mujh ko ab shaitān lage
ġham ke musalsal sadmoñ se mānūs ho gayā dil itnā
hañste rote insānoñ kī bastī bhī vīrān lage
avval avval begāna-pan āḳhir āḳhir hamdardī
TuuTe dil ke ḳhushk laboñ par mere ik muskān lage
dil se ho kar bargashta āñkhoñ kī raah jo niklā hai
qatra-e-ḳhūn-e-sar-e-dāman ab mujh ko ik armān lage
maiñ ne kab tum se kuchh chāhā kyoñ ye ināyat kyoñ ye karam
bin chāhe bin māñge daulat-mand kā na ehsān lage
itnī nazar to paidā kar o nazzāroñ ke matvāle
jis ā.īne ko dekhe vo ā.īna hairān lage
chashm-e-karam ne itnā navāzā dekhne vaale kahte haiñ
zaḳhm harā ho yā ristā ho nazroñ ko gul-dān lage
lamha lamha un kī qurbat dil meñ basī hai mere 'kamal'
tark-e-ta.alluq āsāñ hai ye kahnā to āsān lage
mere ehsasat ka aalam mera hi diwan lage
lekin jab paDhne ko baiThun zaKHmon ki dukan lage
teri qurbat se mujh par to itni haqiqat khul hi gai
mujh mein basne wala insan mujh ko ab shaitan lage
gham ke musalsal sadmon se manus ho gaya dil itna
hanste rote insanon ki basti bhi viran lage
awwal awwal begana-pan aaKHir aaKHir hamdardi
TuTe dil ke KHushk labon par mere ek muskan lage
dil se ho kar bargashta aankhon ki rah jo nikla hai
qatra-e-KHun-e-sar-e-daman ab mujh ko ek arman lage
main ne kab tum se kuchh chaha kyon ye inayat kyon ye karam
bin chahe bin mange daulat-mand ka na ehsan lage
itni nazar to paida kar o nazzaron ke matwale
jis aaine ko dekhe wo aaina hairan lage
chashm-e-karam ne itna nawaza dekhne wale kahte hain
zaKHm hara ho ya rista ho nazron ko gul-dan lage
lamha lamha un ki qurbat dil mein basi hai mere 'kamal'
tark-e-talluq aasan hai ye kahna to aasan lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.