meri tarah sukun ke talabgar tum bhi ho
merī tarah sukūñ ke talabgār tum bhī ho
bīmār maiñ agar huuñ to bīmār tum bhī ho
maiñ dil kā shāhzāda huuñ tum raanī husn kī
maiñ huuñ agar amiir to zardār tum bhī ho
bhūle se bhī na aa.e kisī roz mere ghar
maiñ kaise maan luuñ ki milansār tum bhī ho
duniyā meñ koī bhī na rahe dard kā shikār
ġham baañT lo kisī kā jo ġham-ḳhvār tum bhī ho
ik dūsre pe rakhte haiñ donoñ kaḌī nazar
chālāk maiñ agar huuñ to hushiyār tum bhī ho
sarhad pe apnī jaan luTāne kā vaqt hai
aao agar vatan ke vafādār tum bhī ho
duniyā se laḌ to saktā thā lekin laḌūñgā kyā
auroñ ke saath darpa.e-āzār tum bhī ho
tesha uThā liyā hai to phir kaise baḳhsh duuñ
auroñ kī tarah raah meñ dīvār tum bhī ho
āñkheñ to kah rahī haiñ ki bas jī rahe ho tum
goyā ḳhud apnī ziist se bezār tum bhī ho
dāman-kushā.ī kyā kareñ bandoñ ke sāmne
'ahsan' mujhe yaqīñ hai ki ḳhud.dār tum bhī ho
meri tarah sukun ke talabgar tum bhi ho
bimar main agar hun to bimar tum bhi ho
main dil ka shahzada hun tum rani husn ki
main hun agar amir to zardar tum bhi ho
bhule se bhi na aae kisi roz mere ghar
main kaise man lun ki milansar tum bhi ho
duniya mein koi bhi na rahe dard ka shikar
gham banT lo kisi ka jo gham-KHwar tum bhi ho
ek dusre pe rakhte hain donon kaDi nazar
chaalak main agar hun to hushiyar tum bhi ho
sarhad pe apni jaan luTane ka waqt hai
aao agar watan ke wafadar tum bhi ho
duniya se laD to sakta tha lekin laDunga kya
auron ke sath darpae-azar tum bhi ho
tesha uTha liya hai to phir kaise baKHsh dun
auron ki tarah rah mein diwar tum bhi ho
aankhen to kah rahi hain ki bas ji rahe ho tum
goya KHud apni zist se bezar tum bhi ho
daman-kushai kya karen bandon ke samne
'ahsan' mujhe yaqin hai ki KHuddar tum bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.