mile be-nishan ke nishan kaise kaise
mile be-nishāñ ke nishāñ kaise kaise
bane lā-makāñ ke makāñ kaise kaise
hue ḳhaak daur-e-jahāñ kaise kaise
hue hādse haiñ yahāñ kaise kaise
sune vasl meñ ham bayāñ kaise kaise
bahāne kiye vo 'ayāñ kaise kaise
qalaq hijr ke haiñ yahāñ kaise kaise
gumāñ karte haiñ vo vahāñ kaise kaise
hai kis kā dahan vasf-e-lab meñ tumhāre
suḳhanvar hue be-zabāñ kaise kaise
na shīrīñ hī hai aur na lailā hai afsos
jahāñ se ga.e qadr-dāñ kaise kaise
ka.ī khāte haiñ ġham ka.ī haiñ balā-nosh
haiñ is ḳhvān par mehmāñ kaise kaise
gul-e-dāġh-e-dil aah se kyuuñ na murjhā.e
ujāḌe chaman ye ḳhizāñ kaise kaise
nasīboñ se ghar baiThe aa.e ho ai jaañ
koī māntā huuñ maiñ haañ kaise kaise
ye charḳh-e-kuhan aah chun-chun ke maarā
tah-e-ḳhāk haiñ naujavāñ kaise kaise
qayāmat ke mazmūn haiñ lahrāte dil meñ
sadaf meñ haiñ bahr-e-ravāñ kaise kaise
mirī ham-safīrī bhī hai khapr teḌhī
haiñ ġhup-chup hī shīrīñ-bayāñ kaise kaise
mah-o-lāla-o-sham.a ke daaġh dekho
jale 'ishq se dūd-māñ kaise kaise
hai kyuuñ vasf-e-yūsuf ke jo kārvāñ kā
jahāñ se ga.e kārvāñ kaise kaise
ilāhī ye kyā gardish-e-āsmāñ hai
jalāne lage mehrbāñ kaise kaise
tasavvur se bhī dekhiye kyuuñ kamar ko
hijāb aate haiñ darmiyāñ kaise kaise
har ik shaam chalte haiñ tīr-e-nigah yaañ
nikalte haiñ abrū-kamāñ kaise kaise
chhuā thā ki ik ghaat añgiye ko un ke
haiñ tūfāñ uThe al-amāñ kaise kaise
maiñ qurbāñ ḳhudā.ī ke vo but jo pūchhe
haiñ armān dil meñ nihāñ kaise kaise
karūñ mai se tauba maiñ astaġhfirullāh
liye 'ahd-o-paimāñ muġhāñ kaise kaise
amīnī hai jibrīl par garche qāsid
hameñ ho rahe haiñ gumāñ kaise kaise
'nasīm' un kī baḳhshish bhī lā-intihā hai
hue jurm ham se 'ayāñ kaise kaise
mile be-nishan ke nishan kaise kaise
bane la-makan ke makan kaise kaise
hue KHak daur-e-jahan kaise kaise
hue hadse hain yahan kaise kaise
sune wasl mein hum bayan kaise kaise
bahane kiye wo 'ayan kaise kaise
qalaq hijr ke hain yahan kaise kaise
guman karte hain wo wahan kaise kaise
hai kis ka dahan wasf-e-lab mein tumhaare
suKHanwar hue be-zaban kaise kaise
na shirin hi hai aur na laila hai afsos
jahan se gae qadr-dan kaise kaise
kai khate hain gham kai hain bala-nosh
hain is KHwan par mehman kaise kaise
gul-e-dagh-e-dil aah se kyun na murjhae
ujaDe chaman ye KHizan kaise kaise
nasibon se ghar baiThe aae ho ai jaan
koi manta hun main han kaise kaise
ye charKH-e-kuhan aah chun-chun ke mara
tah-e-KHak hain naujawan kaise kaise
qayamat ke mazmun hain lahraate dil mein
sadaf mein hain bahr-e-rawan kaise kaise
meri ham-safiri bhi hai khapr teDhi
hain ghup-chup hi shirin-bayan kaise kaise
mah-o-lala-o-shama ke dagh dekho
jale 'ishq se dud-man kaise kaise
hai kyun wasf-e-yusuf ke jo karwan ka
jahan se gae karwan kaise kaise
ilahi ye kya gardish-e-asman hai
jalane lage mehrban kaise kaise
tasawwur se bhi dekhiye kyun kamar ko
hijab aate hain darmiyan kaise kaise
har ek sham chalte hain tir-e-nigah yan
nikalte hain abru-kaman kaise kaise
chhua tha ki ek ghat angiye ko un ke
hain tufan uThe al-aman kaise kaise
main qurban KHudai ke wo but jo puchhe
hain arman dil mein nihan kaise kaise
karun mai se tauba main astaghfirullah
liye 'ahd-o-paiman mughan kaise kaise
amini hai jibril par garche qasid
hamein ho rahe hain guman kaise kaise
'nasim' un ki baKHshish bhi la-intiha hai
hue jurm hum se 'ayan kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.