mile jo gham bhi to usko barat KHushi ki tarah
mile jo ġham bhī to us ko barat ḳhushī kī tarah
guzār zindagī nādān zindagī kī tarah
jahāñ pe haq ho vahāñ haq kī baat kah diije
ḳhamosh rahnā bhī hai jurm ḳhud-kushī kī tarah
jahān-e-hirs-o-havas kā to hai gila tāham
mile haiñ mujh ko farishte bhī aadmī kī tarah
jo baat shīrīñ-bayānī kā aks rakhtī hai
vo baat dil meñ utartī hai raushnī kī tarah
vagarna rasm-e-jahāñ-dāri-e-hayāt nibhā
kisī ko chaah to phir chaah bandagī kī tarah
vafā kī hurmat-e-behad kā paas thā mujh ko
tumhāre shahr se guzrā huuñ ajnabī kī tarah
maiñ apnā aap mukammal vajūd huuñ 'shāriq'
mujhe ġharaz hī nahīñ hai banūñ kisī kī tarah
mile jo gham bhi to us ko barat KHushi ki tarah
guzar zindagi nadan zindagi ki tarah
jahan pe haq ho wahan haq ki baat kah dije
KHamosh rahna bhi hai jurm KHud-kushi ki tarah
jahan-e-hirs-o-hawas ka to hai gila taham
mile hain mujh ko farishte bhi aadmi ki tarah
jo baat shirin-bayani ka aks rakhti hai
wo baat dil mein utarti hai raushni ki tarah
wagarna rasm-e-jahan-dari-e-hayat nibha
kisi ko chah to phir chah bandagi ki tarah
wafa ki hurmat-e-behad ka pas tha mujh ko
tumhaare shahr se guzra hun ajnabi ki tarah
main apna aap mukammal wajud hun 'shaariq'
mujhe gharaz hi nahin hai banun kisi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.