mire ham-navā mire ham-safar mire paas aa koī baat kar
mire vāste tū hī mo'atabar mire paas aa koī baat kar
mirī ḳhalvatoñ kī samā.ateñ tirī guftugū ko taras ga.iiñ
mire rat-jage haiñ uruuj par mire paas aa koī baat kar
mire gul haiñ mujh se ḳhafā ḳhafā mirī nik.hateñ haiñ nihāñ nihāñ
maiñ udaas huuñ mire dīda-var mire paas aa koī baat kar
mire jism meñ mirī ruuh meñ hai tire hī dam se ye tāzgī
mire paas aa mire chārāgar mire paas aa koī baat kar
maiñ niDhāl huuñ tire hijr meñ mirī chashm-e-tar tirī muntazir
hai ye zindagī baḌī muḳhtasar mire paas aa koī baat kar
maiñ huuñ karb meñ maiñ huuñ jāñ-ba-lab mirī tishnagī ko bujhā bhī de
ki halaq mirā ho zarā sā tar mire paas aa koī baat kar
mire dil jigar hue soḳhta mirī ruuh bhī huī muztarib
mire hāl-e-zār pe rahm kar mire paas aa koī baat kar
mere ham-nawa mere ham-safar mere pas aa koi baat kar
mere waste tu hi mo'atabar mere pas aa koi baat kar
meri KHalwaton ki samaaten teri guftugu ko taras gain
mere rat-jage hain uruj par mere pas aa koi baat kar
mere gul hain mujh se KHafa KHafa meri nikhaten hain nihan nihan
main udas hun mere dida-war mere pas aa koi baat kar
mere jism mein meri ruh mein hai tere hi dam se ye tazgi
mere pas aa mere chaaragar mere pas aa koi baat kar
main niDhaal hun tere hijr mein meri chashm-e-tar teri muntazir
hai ye zindagi baDi muKHtasar mere pas aa koi baat kar
main hun karb mein main hun jaan-ba-lab meri tishnagi ko bujha bhi de
ki halaq mera ho zara sa tar mere pas aa koi baat kar
mere dil jigar hue soKHta meri ruh bhi hui muztarib
mere haal-e-zar pe rahm kar mere pas aa koi baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.