mere mizaj pe diwana-war barsa hai
mere mizaj pe diwana-war barsa hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
mire mizāj pe dīvāna-vār barsā hai
kabhī sukūn kabhī iztirār barsā hai
ye surḳh fasl yūñhī aañkh meñ kahāñ ugtī
hamāre dil pe bahut intizār barsā hai
hadoñ meñ jis kī ubharne lagā koī chehra
kisī kā yaad kā aisā hisār barsā hai
kisī zamāne meñ bedāriyoñ kī rim-jhim thī
hamāre baḳht pe ab ke ḳhumār barsā hai
phir is ke baad bahut habs-e-jabr phail gayā
zarā sī der agar iḳhtiyār barsā hai
mire ḳhayāl kī poshāk itr-bez huī
kisī ke jism pe khul kar nikhār barsā hai
isī liye to ye dasht-e-fareb sabz huā
kahīñ ḳhulūs kahīñ e.atibār barsā hai
dhule hue jo ye lahje hue haiñ maTiyāle
us ābshār pe ik regzār barsā hai
ġhurūr bah ke nasheb-e-anā meñ Duub gayā
falak se aise koī ḳhāksār barsā hai
mere mizaj pe diwana-war barsa hai
kabhi sukun kabhi iztirar barsa hai
ye surKH fasl yunhi aankh mein kahan ugti
hamare dil pe bahut intizar barsa hai
hadon mein jis ki ubharne laga koi chehra
kisi ka yaad ka aisa hisar barsa hai
kisi zamane mein bedariyon ki rim-jhim thi
hamare baKHt pe ab ke KHumar barsa hai
phir is ke baad bahut habs-e-jabr phail gaya
zara si der agar iKHtiyar barsa hai
mere KHayal ki poshak itr-bez hui
kisi ke jism pe khul kar nikhaar barsa hai
isi liye to ye dasht-e-fareb sabz hua
kahin KHulus kahin eatibar barsa hai
dhule hue jo ye lahje hue hain maTiyale
us aabshaar pe ek regzar barsa hai
ghurur bah ke nasheb-e-ana mein Dub gaya
falak se aise koi KHaksar barsa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.