mere qarib se guzra ek ajnabi ki tarah
Interesting Fact
1963
mire qarīb se guzrā ik ajnabī kī tarah
vo kaj-adā jo milā bhī to zindagī kī tarah
milā na thā to gumāñ us pe thā farishtoñ kā
jo ab milā hai to lagtā hai aadmī kī tarah
kiran kiran utar aa.ī hai rauzan-e-dil se
kisī hasīñ kī tamannā bhī raushnī kī tarah
mirī nigāh se dekho to ham-zabāñ ho jaao
ki dushmanī bhī kisī kī hai dostī kī tarah
na milne vaale kināroñ kā naam Thahrā shauq
gurez-pā hai jahāñ husn ik nadī kī tarah
na khul sakā to lahū ho ke bah gayā hai dil
kabhī khilā to mahak uTThegā kalī kī tarah
hazār she'r haiñ aur ek ḳhāmushī kī adā
hazār rang haiñ aur ek sādgī kī tarah
bahut dinoñ meñ mile haiñ ham aaj 'ishqī' se
nahīñ vo phir bhī koī shaḳhs hai usī kī tarah
mere qarib se guzra ek ajnabi ki tarah
wo kaj-ada jo mila bhi to zindagi ki tarah
mila na tha to guman us pe tha farishton ka
jo ab mila hai to lagta hai aadmi ki tarah
kiran kiran utar aai hai rauzan-e-dil se
kisi hasin ki tamanna bhi raushni ki tarah
meri nigah se dekho to ham-zaban ho jao
ki dushmani bhi kisi ki hai dosti ki tarah
na milne wale kinaron ka nam Thahra shauq
gurez-pa hai jahan husn ek nadi ki tarah
na khul saka to lahu ho ke bah gaya hai dil
kabhi khila to mahak uTThega kali ki tarah
hazar she'r hain aur ek KHamushi ki ada
hazar rang hain aur ek sadgi ki tarah
bahut dinon mein mile hain hum aaj 'ishqi' se
nahin wo phir bhi koi shaKHs hai usi ki tarah
- Book : Qamat (Pg. 40)
- Author : Shahid Ishqui
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.