meri chashm-e-tamasha-bin ki hairani nahin jati
meri chashm-e-tamasha-bin ki hairani nahin jati
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
mirī chashm-e-tamāsha-bīñ ki hairānī nahīñ jaatī
magar husn-e-azal kī jalva-sāmānī nahīñ jaatī
shahādat naujavānān-e-vatan kī rang laatī hai
amal kī raah meñ be-kār qurbānī nahīñ jaatī
koī tinkā abhī baaqī hai shāyad āshiyāne meñ
jo ab tak barq kī ye sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
chaman meñ muddatoñ se garche ye daur-e-bahārāñ hai
magar ab bhī guloñ kī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
vahī āñkheñ jinheñ zauq-e-basīrat ham ne baḳhshā thā
unhī se ab hamārī shakl pahchānī nahīñ jaatī
kabhī apne ishāroñ par ye duniyā raqs kartī thī
magar ab to hamārī baat bhī maanī nahīñ jaatī
chaman meñ manzar-e-barbādī-e-gul jab se dekhā hai
kisī sūrat mirī āñkhoñ kī hairānī nahīñ jaatī
tumhāre sar hai kitnā ḳhūn-e-nāhaq be-gunāhoñ kā
magar phir bhī tumhārī pāk-dāmānī nahīñ jaatī
hazāroñ inqalāb aa.e haiñ duniyā meñ magar 'tal.at'
sukūñ nā-āshnā dil kī pareshānī nahīñ jaatī
meri chashm-e-tamasha-bin ki hairani nahin jati
magar husn-e-azal ki jalwa-samani nahin jati
shahadat naujawanan-e-watan ki rang lati hai
amal ki rah mein be-kar qurbani nahin jati
koi tinka abhi baqi hai shayad aashiyane mein
jo ab tak barq ki ye shoala-samani nahin jati
chaman mein muddaton se garche ye daur-e-bahaaran hai
magar ab bhi gulon ki chaak-damani nahin jati
wahi aankhen jinhen zauq-e-basirat hum ne baKHsha tha
unhi se ab hamari shakl pahchani nahin jati
kabhi apne ishaaron par ye duniya raqs karti thi
magar ab to hamari baat bhi mani nahin jati
chaman mein manzar-e-barbaadi-e-gul jab se dekha hai
kisi surat meri aankhon ki hairani nahin jati
tumhaare sar hai kitna KHun-e-nahaq be-gunahon ka
magar phir bhi tumhaari pak-damani nahin jati
hazaron inqalab aae hain duniya mein magar 'talat'
sukun na-ashna dil ki pareshani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.