meri nazar bas meri nazar thi magar tumhaari nazar se pahle
meri nazar bas meri nazar thi magar tumhaari nazar se pahle
Nazakat Ullah Khan Faiz
MORE BYNazakat Ullah Khan Faiz
mirī nazar bas mirī nazar thī magar tumhārī nazar se pahle
vajūd se apne be-ḳhabar thā magar tumhārī ḳhabar se pahle
ye shab kī tārīkiyāñ bhī kab se tire hī jalve kī muntazir haiñ
magar ai ḳhurshīd-e-tābāñ terī ziyā ho kyūñkar sahar se pahle
rahe ho pāband rasm-e-kohna ke mai-kade meñ bhī tum vagarna
nigāh-e-sāqī meñ thā ishāra batāo duuñ maiñ kidhar se pahle
hujūm hai mai-kashoñ kā saaqī tirī bhī dariyā-dilī kī ḳhātir
har ek lab par yahī sadā hai idhar se pahle idhar se pahle
jahāñ ko ham ne lahū se apne ye bazm-ārā.iyāñ atā kiiñ
kahāñ thī ye raushnī batāo hamāre ḳhūn-e-jigar se pahle
nagar huā jal ke ḳhaak saarā kise ḳhabar hai ḳhayāl kis ko
hameñ pata hai to sirf itnā lagī thī aag apne ghar se pahle
chalūñgā maiñ saath kārvāñ ke magar zarā Thahr jaao 'faizī'
kahāñ luTegā ye kārvāñ phir ye pūchh luuñ rāhbar se pahle
meri nazar bas meri nazar thi magar tumhaari nazar se pahle
wajud se apne be-KHabar tha magar tumhaari KHabar se pahle
ye shab ki tarikiyan bhi kab se tere hi jalwe ki muntazir hain
magar ai KHurshid-e-taban teri ziya ho kyunkar sahar se pahle
rahe ho paband rasm-e-kohna ke mai-kade mein bhi tum wagarna
nigah-e-saqi mein tha ishaara batao dun main kidhar se pahle
hujum hai mai-kashon ka saqi teri bhi dariya-dili ki KHatir
har ek lab par yahi sada hai idhar se pahle idhar se pahle
jahan ko hum ne lahu se apne ye bazm-araiyan ata kin
kahan thi ye raushni batao hamare KHun-e-jigar se pahle
nagar hua jal ke KHak sara kise KHabar hai KHayal kis ko
hamein pata hai to sirf itna lagi thi aag apne ghar se pahle
chalunga main sath karwan ke magar zara Thahr jao 'faizi'
kahan luTega ye karwan phir ye puchh lun rahbar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.