meri nigah hai ab mujh pe aainon ki tarah
mirī nigāh hai ab mujh pe ā.inoñ kī tarah
tabhī to dekhtī huuñ ḳhud ko dūsroñ kī tarah
vo apnī pyaas kā 'ālam bhī maiñ ne dekhā hai
maiñ apne aap pe barsī huuñ bārishoñ kī tarah
maiñ manziloñ pe Thaharnā kabhī na siikh sakī
safar maiñ kartī rahī sirf rāstoñ kī tarah
hai mere roz ke mā'mūl kā asar mujh par
maiñ ḳhud ko jiine lagī huuñ ab 'ādatoñ kī tarah
vo vahshatoñ kā samāñ thā koī milā hī nahīñ
maiñ apne aap se pesh aa.ī pāgaloñ kī tarah
vafā kā is se ziyāda subūt kyā detī
maiñ raakh ho to ga.ī us kī ciggarettoñ kī tarah
meri nigah hai ab mujh pe aainon ki tarah
tabhi to dekhti hun KHud ko dusron ki tarah
wo apni pyas ka 'alam bhi main ne dekha hai
main apne aap pe barsi hun barishon ki tarah
main manzilon pe Thaharna kabhi na sikh saki
safar main karti rahi sirf raston ki tarah
hai mere roz ke ma'mul ka asar mujh par
main KHud ko jine lagi hun ab 'adaton ki tarah
wo wahshaton ka saman tha koi mila hi nahin
main apne aap se pesh aai pagalon ki tarah
wafa ka is se ziyaada subut kya deti
main rakh ho to gai us ki ciggaretton ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.