meri nigah mein ye charKH-e-aKHzari kya hai
mirī nigāh meñ ye charḳh-e-aḳhzarī kyā hai
ye mehr-o-māh ye tāroñ kī rahbarī kyā hai
ye nāz-o-ishva-o-tyorī sitamgarī kyā hai
taḌap na jaa.e agar dil to dilbarī kyā hai
banā.eñ aap mire dil ko aa.ina lekin
samajh to lījiye pahle sikandarī kyā hai
vafā.eñ ho ga.iiñ qurbān un jafāoñ par
tumhī batāo ye andāz-e-dilbarī kyā hai
yuuñ bazm-e-nāz meñ aane ke ham nahīñ qaa.il
na ho salām-e-mohabbat to hāzirī kyā hai
nigāh-e-nāz kā kushta huā jab avval-e-shab
mirī nazar meñ ye jādū-e-sāmrī kyā hai
janāb-e-shaiḳh bhī baiThe the but-kade meñ kal
bahas chhiḌī thī unhī se ki kāfirī kyā hai
amal nahīñ to ye alqāb sab haiñ nākāra
ye shaiḳh-o-sayyad-o-afġhān-o-ja.afrī kyā hai
nikālte haiñ mujhe bazm-e-ahl-e-suḳhnāñ se
ḳhabar nahīñ jinheñ ādāb-e-shā.erī kyā hai
na qadr-e-la.al na kuchh ābrū-e-gauhar hai
badūñ tamīz-e-guhar zo.am-e-jauharī kyā hai
ye ahl-e-bazm kā husn-e-samā.at hai 'dīvān'
vagarna ahl-e-zabāñ meñ ye shā.erī kyā hai
meri nigah mein ye charKH-e-aKHzari kya hai
ye mehr-o-mah ye taron ki rahbari kya hai
ye naz-o-ishwa-o-tyori sitamgari kya hai
taDap na jae agar dil to dilbari kya hai
banaen aap mere dil ko aaina lekin
samajh to lijiye pahle sikandari kya hai
wafaen ho gain qurban un jafaon par
tumhi batao ye andaz-e-dilbari kya hai
yun bazm-e-naz mein aane ke hum nahin qail
na ho salam-e-mohabbat to haziri kya hai
nigah-e-naz ka kushta hua jab awwal-e-shab
meri nazar mein ye jadu-e-samri kya hai
janab-e-shaiKH bhi baiThe the but-kade mein kal
bahas chhiDi thi unhi se ki kafiri kya hai
amal nahin to ye alqab sab hain nakara
ye shaiKH-o-sayyad-o-afghan-o-jafri kya hai
nikalte hain mujhe bazm-e-ahl-e-suKHnan se
KHabar nahin jinhen aadab-e-shaeri kya hai
na qadr-e-lal na kuchh aabru-e-gauhar hai
badun tamiz-e-guhar zoam-e-jauhari kya hai
ye ahl-e-bazm ka husn-e-samaat hai 'diwan'
wagarna ahl-e-zaban mein ye shaeri kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.