misl dariyā ke agar ashk-fishānī hotī
āñsuoñ meñ sifat-e-sail ravānī hotī
gar ajal aur bahānoñ se bhī aanī hotī
phir shab-e-hijr na yuuñ dushman-e-jānī hotī
yaar tak kashtī-e-tan bah ke pahuñchtī merī
qulzum-e-ashk meñ itnī to ravānī hotī
un ke abrū ke agar vasf sarāsar likhtā
sūrat-e-teġh qalam meñ bhī ravānī hotī
sāmrī bahs meñ kyā tum se muqābil hotā
murde jī uThte agar sehr-bayānī hotī
qissa-e-qais meñ kyūñkar na jidādat kartā
lutf kyā hotā kahānī jo purānī hotī
chashm-e-jādū kī bayāñ karte agar vo tārīf
lab-e-īsā meñ bhī phir sehr-bayānī hotī
ek hī din ke liye vasl pe raazī hote
merī minnat to koī aap ne maanī hotī
ye havā hotī na phir un ke havā-ḳhvāhoñ meñ
marg-e-āshiq kī ḳhabar gar na uḌānī hotī
gar dikhātā karam-e-zehn-e-rasā faiz mujhe
sūrat-e-bahr tabī.at meñ ravānī hotī
sun ke ro dete huzūr aap bhī merī sūrat
jab bayāñ is dil-e-murda kī kahānī hotī
dard-e-dil maiñ jo bayāñ karne lagā hañs ke kahā
ham bhī sunte jo na.ī koī kahānī hotī
faiz gar paikar-e-tasvīr meñ hotā terā
ḳhuuñ kī rag.hā-e-badan meñ bhī ravānī hotī
tan pe khātā na maiñ kyoñ shauq se gul chhalloñ ke
paas koī to mohabbat kī nishānī hotī
kaash paḌte ruḳh-e-nāzuk pe nishān bosoñ ke
kuchh na kuchh vasl ke paas un kī nishānī hotī
un kā bismil jo taḌap kar na lahad meñ jaatā
laash ahbāb ko kāñdhoñ pe uThānī hotī
ḳhat mujhe de ke jo paiġhām bhī detā qāsid
guftugū us kī payambar kī zabānī hotī
āñdhiyāñ bād-e-fanā phir na lahad par ātīñ
in havāoñ ko na gar ḳhaak uḌānī hotī
sun ke rah jaate kaleje ko pakaḌ ke apne
dil-e-pur-dard kī aisī to kahānī hotī
gardaneñ aap se kaTtīñ na hazāroñ kī kabhī
baaḌh par vo na agar teġh-e-javānī hotī
ḳhaak uḌātā na agar ishq-e-butāñ ke pīchhe
haa.e barbād na yuuñ merī javānī hotī
ishq hotā na hasīnān-e-jahāñ kā mujh ko
aap māshūq agar merī javānī hotī
apne hāthoñ se kabhī qatl na karte 'fāḳhir'
mehñdī gar ḳhuun kī un ko na lagānī hotī
misl dariya ke agar ashk-fishani hoti
aansuon mein sifat-e-sail rawani hoti
gar ajal aur bahanon se bhi aani hoti
phir shab-e-hijr na yun dushman-e-jaani hoti
yar tak kashti-e-tan bah ke pahunchti meri
qulzum-e-ashk mein itni to rawani hoti
un ke abru ke agar wasf sarasar likhta
surat-e-tegh qalam mein bhi rawani hoti
samri bahs mein kya tum se muqabil hota
murde ji uThte agar sehr-bayani hoti
qissa-e-qais mein kyunkar na jidadat karta
lutf kya hota kahani jo purani hoti
chashm-e-jadu ki bayan karte agar wo tarif
lab-e-isa mein bhi phir sehr-bayani hoti
ek hi din ke liye wasl pe raazi hote
meri minnat to koi aap ne mani hoti
ye hawa hoti na phir un ke hawa-KHwahon mein
marg-e-ashiq ki KHabar gar na uDani hoti
gar dikhata karam-e-zehn-e-rasa faiz mujhe
surat-e-bahr tabiat mein rawani hoti
sun ke ro dete huzur aap bhi meri surat
jab bayan is dil-e-murda ki kahani hoti
dard-e-dil main jo bayan karne laga hans ke kaha
hum bhi sunte jo nai koi kahani hoti
faiz gar paikar-e-taswir mein hota tera
KHun ki ragha-e-badan mein bhi rawani hoti
tan pe khata na main kyon shauq se gul chhallon ke
pas koi to mohabbat ki nishani hoti
kash paDte ruKH-e-nazuk pe nishan boson ke
kuchh na kuchh wasl ke pas un ki nishani hoti
un ka bismil jo taDap kar na lahad mein jata
lash ahbab ko kandhon pe uThani hoti
KHat mujhe de ke jo paigham bhi deta qasid
guftugu us ki payambar ki zabani hoti
aandhiyan baad-e-fana phir na lahad par aatin
in hawaon ko na gar KHak uDani hoti
sun ke rah jate kaleje ko pakaD ke apne
dil-e-pur-dard ki aisi to kahani hoti
gardanen aap se kaTtin na hazaron ki kabhi
baDh par wo na agar tegh-e-jawani hoti
KHak uData na agar ishq-e-butan ke pichhe
hae barbaad na yun meri jawani hoti
ishq hota na hasinan-e-jahan ka mujh ko
aap mashuq agar meri jawani hoti
apne hathon se kabhi qatl na karte 'faKHir'
mehndi gar KHun ki un ko na lagani hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.